मात्र तीन सामग्री से cake बनाने का सही तरीका

मात्र तीन सामग्री से cake बनाने का सही तरीका

Aaj ke samay me bahar ka kuch bhi khane me dar lagta h, na jane kiasa bana hoga? Hath dhoo kar banaya hoga ya nhi? Sabjiya ya khana ya kuch banane se phele samagree dhooe hogi ya nhi? Aap bhi inhe baato se darte honge haina?

Koi baat nhi aaj aap ghr bathe apno ke liye  cake banae or anand uthae ek sawadisht cake ka vo bhi bina ande or oven ke.

ये भी पढ़ें दुनिया भर में महिलाओं के बारे में हैरान करने वाले तथ्य। सही जानकारी

Aaeye jante h kiase banate bina ande or oven ke ek sawadisht cake:-

  • Subse phele aap ye 3 samagree aapne pass le aae taki aapko baad me koi pareshani na ho.
  1. Oreo biscuit ka pack
  2. Baking soda
  3. Milk
  • Oreo biscuit ka pack khol kar unka chura kar le.
  • Barik chura karna hoga jase baking soda.
  • Chura ho jane ke baad usme ½ choti chamach baking soda achee se mila le.
  • Achee se mila lane ke baad usme 1 cup milk mila le.
  • Agar milk kam ho tho usme thoda or milk dal lijeye taki paste achee se katori ya bartan jisme aap cake banana chate ha usme achee se aa sake
  • Jab paste taiyar ho jae tab uske ek bartan me paros le
  • Dhiyan rahe ki pase bartan me achee se aa jae or bahar na nikle ya jada na ho jae.
  • Gas pr kukar ya kadhai rakhe or gas chalo kare.
  • Kukar ya kadhai me ½ glass pani dale.
  • Pani dalne ke baad ek choti plate usme rakhe taki cake ka bartan pani na dube.
  • Kukar ya kadhai ko dhak de or cake ko bhap me bane de.
  • 10-15 minute baad cake ko kukar ya kadhai me se dhiyan se nikal le.
  • Cake ko ek bade plate me paros le.

Aapka swadisht केक taiyar h. Aap bhi khae or apne pariwar ko khlae or bina kise fikar ke anand uthe.

ये भी पढ़ें Set Up Autofill in Google Chrome

Leave a Reply