1 lakh Ke Andar Bikes

1 lakh Ke Andar Bikes

Bikes ka shauk bahot logo ko hota hai par aaj kal kam budget me itne saare bikes aa gaye hai jisme se aaram se choose kar sakte ho.Is blog ke dwara mai aapko ye bataunga ke aap kon kon se bike ek budget me,matlab ke 1 lakh ke andar bikes kharid sakte hain. Ek bike kharidte waqt aapko ye pata hona chaheye ke aap use kis

purpose se use karenge. Agar aapo uski utni rough use nahi karni hai to aese bahot saari bike hai jo ke aap kharid sakte ho.Speed bahot maine rakhte hai .to aapko mai bataunga ke aap kis cheez ka khayal rakhe ke aapko aapki bike sahi milage aur sahi speed de.

Bajaj Pulsar AS 200

Ye behtareen bike 200 cc me aati hai.Is bike me triple spark four-valve DTS-i engine hai jo ke 23.5PS power produce karti hai. Is bike ke top speed 138 kmph hai,jo ke ise fastest bike banate hai 1 lakh ke budget me. Is bike me vibration bilkul nahi hoti hai chahe aap ise ketne bhi speed par le aaye. is bike ke speed kisi bhi highway pae 100kmph aaram se pahuch jaati hai. Is bike ke  torque bhi bahot achi hai jo ke aapko highways par help karti hai bike overtake karne me. iski tank 12 litre ke hai aur milage takriban 44kmph hai Full tank par bike 500 + kms chalti hai.isme touring bike k saare feautres hai.

 

Bajaj Avenger 220

Bajaj Avenger 220 introduce hue kafi din ho gya .Ye avenger cruiser 200 se bilkul similar hai or price range bhi kariban same hai. Bike ka wajan 154.5 kgs hai.neecha handl aur bulky fuel tank is bike ko special banate hai.Ye india me most affordable cruiser bike hai jiski kemat rs 82,327 (Ex-showroom price) hai. Is bike me twin spark hai, oil cooler, 220cc DTS-i engine hai jisse ke 19.03 PS ka power produce hota hai. Isme 5 speed engine hai  jo ke 4.5 secnd me 0-60 kmph ke speed de sakta hai. 

Is bike ke sath aapko telescopic fork aur twin shock absorber bhi hai.Is bike ke milage city roads par 40kmpl hai or 55 kmpl highway pr.

Bajaj Pulsar 220 DTS-i

Is bike me aapko Digital Twin Spark Ignition (DTS-i) milta hai jo ke iske high speed ka raaz hai.Is engine se combution ache se hote hai aur ye fuel effective bhi hai.Isme Twin Spark Plug hai jo ke air aur fuel ke mixture ko jalne me sahayta karti hai. i bike me Exhaust Torque Expansion Chamber bhi hota hai jo ke torque ko imrove karne me help karta hai. Is bike ke milage aapko 48kmpl ke milti hai jo ke achi hai 220 cc bke ke lea.

Tubeless tyres aur 1 V DC battery is bike ko aur jordar banati hai. ear me aapko Nitrox shock absprber bhi milta hai jo ke is bike ke ek achi khubi hai.

TVS Apache 180

Isko 3ra sabse fast bike 100000 ke andar mani jati hai. Is bike me 177.4 cc engine fit hoti hai jo ke 17.3PS power  produce karte hai.Is bike ke actual top speed 122kmph hai jo ke 5 gear box ke engine me aati hai..

is bike ke milage 45 kmpl hai jo ke aur bike ke comparision me bahot achi hai. Ye bike long ride ke lea uncomfortable mani jaati hai kyuki bauthne ka posture thoda unhealthy hai .is bike ke accelaration bahot he achi hai .4.5 seconds me ye bike 60kmph phuch sakti hai.

 

Aasha karta hun ke is post ko padhne ke baad apki bike khareedne ke confusion dur ho gae hogi,kisi bhi terah ke aur jaankari ke lea aap comment kar sakte hain. 

Leave a Reply