BA,LLB

source:SarvGyan

Integrated Law

Bachelor of Arts + Bachelor of Laws [B.A.L.L.B.] administrative law ka ek dual degree professional course hai. Bachelor of Arts + Bachelor of Laws [B.A.L.L.B.] ek five-year lamba course. koi bhi student jo 10+2 or equivalent exam kisi recognized board se minimum 50%  aggregate se pass hai wo candidate is course ke liye apply kar sakta hai.jada tar law school/university me admission national/university level ke entrance test ke through hota hai.

Bachelor of Arts + Bachelor of Laws [B.A.L.L.B.] course kare ki lagat 1lakh se 10 lakh tak ho saktka hai or ye college/university pe nirbhar karta hai ki aap kisi college ya unversity me admission le rahe hai.kuch college aise bhi hai jo iss course ko neutam fees 90000 me karwate hai jaise  Singhad Law College Pune .

aamtor pe candidate enterence exam ke through iss program me entry pa sakte hai.kuch institute me direct entry bhi li jati hai.iss course me entry mode entrance exam hai.entry ke liye exam all India level ke sath sath state level pe karwaya jata hai.

B.A.L.L.B. ek course hai jo law ke sath art ko bhi target karta hai.isme law ke specialized field jaise Criminal law, Corporate law, Patent law, Administrative law, Tax law, International law or Labor law jaise art field jaise Economics, History, Sociology or Political science aadi subject ko samil kiya gya hai.iss course ka objective students ko expert knowledge and unique perspective provide karwana hai.yeh course students ko creative ways me critically sochne or innovative ideas ke aforesaid legal issues ko solve karna sikhata hai.