Aajkal har koi ek Smartphone mobile use karta hai. Touch Screen waale phone bhi aajkal bahut jada demand me hai. Magar lagbhag har Smart phone ki battery jada din tak nahi tikti. Iss article me hum aapko batayenge ke aap Apne Smartphone ki Battery ko Bachane ke liye kya kar sakte hai.
Apne Smartphone ki Battery ko Bachane ke liye neeche likhe hue instructions ko follow kare.
Smart phone me bahut saare features hote hai. Lagbhag har ek kaam ke liye bahut saare App hote hai. Battery bachane ke liye bhi bahut saare app ka aapne naam suna hoga. Kuch choti baato ka agar hum khayal rakhe toa apne phone ki battery life ko hum jada kar sakte hai.
Jada App Download na kare
Jis Mobile App ki aapko zarurat nahi hai, wo App download na kare. Koshish kare ke Aapke mobile me kam se kam Mobile App ho. Isse Phone me space bhi bachega aur battery bhi bachegi.
Jo Cheez Use na kare use Band kar de
Home screen button ko press kar dene se sab kuch background me chala jaata hai aur band nahi hota. Apne Mobile me kuch bhi khole toa usko sahi tareeke se band ya exit kare. Agar wo background me chalta rahega toa aapki battery bhi karch hogi.
Screen Contrast or Brightness kam rakhe
Apne mobile phone ke settings me jaake Phone ka brightness kam kar ke rakhe. Utna hi rakhe jitna zarurat ho. Jada Brightness karne se Battery zada kharcha hota hai.
Mobile Charge off karke kare
Waise toa koshish kare ke mobile ko aap charge karte waqt band rakhe. Lekin agar band nahi kar sakte toa iss baat ka khayal rakhe ke Mobile charge hote waqt mobile ko use na kare. Agar aisa karenge toa battery ki life kam ho jayegi.
Network na rehne pe phone band kar de
Agar aap kahi travel kar rahe hai ya Airplane me baithe hai jaha Network nahi aa raha hai. Waha pe apna phone ya toa flight mode pe rakh de settings me jaake. ya apna Phone band kar de. Jub phone me Signal nahi aata hai toa signal khojne ke dauran battery bahut jada kharch hota hai.
Full sound se thoda sa kam sound rakhe
Chahe gaana sune ya kisi se bat kare. Apne phone ka sound thoda sa kam kar ke rakhe. Isse aapke phone ki battery toa bachegi hi saath hi sound ki quality bhi bahut dino tak chalegi.
Agar aap ye upar likhi hui cheezo ka khayal rakhenge toa yakeenan aapke mobile ki aapke Smartphone ki battery bahut bachegi aur aap use jada use kar payenge.
Agar aapko ye article padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.
Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.