Doctor banne ke liye M.B.B.S ki padhai karni padti hai, Engineering ke liye B.Tech ki. Isi tarike se kuch professional banne ke liye ek professional padhai ki bhi zarurat hoti hai. Yaha hum aapko batayenge ke Kya Banne ke liye kis cheez ki padhai karne ka sahi tarika kya hai. Bahut saare professional course hai jiski aap padhai kar sakte hai.
Neeche diye gaye Instructions ko follow kare agar aap jaanna chahte hai ke Kya Banne ke liye kis cheez ki padhai karne ka sahi tarika kya hai
Schooling yaani 10th class tak ki padhai sabki almost same hoti hai. Chahe aap Government School se padhai karo, chahe English medium se ya fir Hindi medium se. 10th class ke baad asal me career choose karne ka awasar aata hai. Sahi career wahi hai jisme aapka mann lage aur jiski padhai karne me aapki ruuchi ho.
10th Class ke baad agar aap aur padhai karna chahte hai toa aapke paas neeche diye gaye subjects choose karne ka option hota hai.
- Science Stream with Mathematics / Biology / Computer / Bio-Math
- Commerce Stream
- Arts or Humanities Stream
iss teeno me se koi sa bhi ek option choose karke aap 12th me padhai kar sakte hai. Joke 2 saal ki padhai hoi hai.
Iske alawa agar aap 10th ke baad hi professional padhai karna chahte hai toa aapke paas neeche diye gaye options bhi hote hai.
Industrial Training Institutes (ITIs) and Industrial Training Centres (ITCs): Ye Institutes private bhi hote hai aur Government bhi. Isme 3 saal tak ki training hoti hai uske baad desh aur videsh me aap kahi bhi achchi naukri kar sakte hai. Iske andar electrician, machinist, fitter, plumber, turner, welder, safety jaisi padhai hoti hai jisme aapko theory aur practical dono ki knowledge dete hai.
Indian Army: 10th class pass karne ke baad aap Indian Army me bhi apply kar sakte hai. Indian Army me soldiers ke liye bahali hoti hai, jisme written exams hote hai. Agar Aap Indian Army join karna chahte hai 10th class ke baad toa aapke paas, neeche diye gaye options hai.
- Indian Army Soldier Clerks Exam. (click karke jaane ke ye kya hai aur kaise hota hai)
- Indian Army Soldier General Duty (N.E.R) Exam. (click karke jaane ke ye kya hai aur kaise hota hai)
- Indian Army Soldier Technical (M.E.R) Exam. (click karke jaane ke ye kya hai aur kaise hota hai)
- Indian Army Soldier Nursing Assistants (M.E.R) Exam. (click karke jaane ke ye kya hai aur kaise hota hai)
Indian Navy: 10th class pass karne ke baad aap Indian Navy me bhi jaa sakte hai. Indian Navy me navy soldiers ke liye bahali hoti hai, isme bhi written exams hote hai jinme pass karna zaruri hota hai tabhi aapka chayan hoga. Isme aapke paas neeche diye gaye options hote hai.
- Indian Navy Dock Yard Apprentices Exam. (click karke jaane ke ye kya hai aur kaise hota hai)
- Indian Navy Artificer Apprentices Exam (click karke jaane ke ye kya hai aur kaise hota hai)
- Sailors
Police Force : 10th ke baad Police force me bhi apply kar sakte hai. Yaha pe bhi written test hota hai aur saath me physical test bhi hota hai. Aap Constable ban sakte hai CRPF (Central Reserve Police Force me)
10th class pass karne ke baad aur bhi kai vikalp hai. Aap Staff Selection Commission (SSC) me clerks grade ka exam de sakte hai. Agar aap Teaching Field me interested hai toa aap diploma course kar sakte hai Nursery and Primary teachers ka joki aapke hi state me Sarkaar dwara karwaya jaata hai. Kuch loaf 3 saal ka engineering diploma course polytechnic me bhi join kar sakte hai, agar wo isme ruchi rakhte hai toa. Baaki IT and web designing ki bhi training le sakte hai. Iske alawa bhi aur kai vikalp hai, agar aap chahe toa.
Agar aapko ye article padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.
Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.