Baalo ka girna ya jhadna aam baat hai pr jab insaan ki umar jyada hone lagti hai tab tou baalo ka girna ya jhadna samjh aata hai. Pr aajkal logo k baal kam umar me b girne lage hai. Or sir k baal insaan k shareer kaa ek mehatyapurn hissa hota hai. Usi se insaan ka shareer or chehra accha lagta hai. Is Blog me hum aapko batayenge ke Baalo Ka Girna Kam Kaise Kare | Aasaan Gharelu Upaye.
Kuch mehatyapurn kaaran jiksi wajah se logo ke baal kam umar me girne lagte hai.
POLLUTION
Pollution ek sabse bada kaaran hai insaan ke bimar hone ka or insaan ke sir ke baal girne ka. Pollution ki vajah se baalo me dandruff or b bohat tarike ke infection hote hai jiski vajah se baal girne Lagte hai.
STRESS
Loago ka manna hai ke stress ki wajah se bhi logo ke baal girne lagte hai. Logo ka ye bhi manna hai ke jyada sochne se baal girne lagte hai. Par Sahi Tarika ki team ne survey kiya toa pata chala ke aisa kuch nahi hota ye bas ek kahani hai. Sochne se yaa stress lene se tab tak baal girenge naiiee jabtak aap apne baalo ko kheechkr na girane lage.
Sahi tarika ki team ne jab hair specialist ( baalo ke doctors) k pass jakar survey kiyaa tou pata chal k ye sab kahaniya hai jo logo ne apne mann se kehna shuru kar diya pr esa kuch naiiee hai. Baalo ka girna ya tou kisi bimari ki nishani hai yaa fir aap log baalo ka dhyaan nahi rakh paatey.
DISEASE (BIMARI)
Baalo ka girna bohat si bimariyo ka symptom( kaaran ) ho sakta hai. Kch bimariya esi hoti hai jinke bare me logo ko pata nahi chal pata kyunki unka koi asar body pr nahi dikhta pr apke baalo pr jarur dikhta hai. Isliye agar apke baal girne lage tou ek bar doctor ko jarur dikha le. Fir baad me baalo ko girne se rokne ke upaye dhunde.
CARELESSNESS( LAPARVAHI)
Jesa k hmne bataya ke baal insaan k shareer ka bohat important hissa hote hai. Inssan ko accha dikhne ke liye acche baalo ki bohat jarurat padti hai. Acche baalo k liye ek insaan ko apne baalo pr dhyaan dena padta hai. Jese ke unhe kese maintain kare agr bade baal hai tou shampoo kese kare , hair oil kese lagaye or unka protein kese pura kare jisse ki vo acche se badhe.
Kuch Sahi Tarika baalo ko girne se rokne k liye
HAIRFALL ( BAALO KA GIRNA)
Insaan ki umar jese jese badhti rehti hai usi hisab se insaan ke baalo ka colour badalne lagta hai. Black colour se baal white hone lagte hai. Or usi hisab se baalo ka girna jyada hone lagta hai. Pr ye dekha gaya hai k aksar ye cheeze 40 saal ki umar k baa dhoti hai. Pr ajkal logo k baal 40 se pehle hi irne lage hai. Agr aapjke saath esa hai tou koi laparvahi naa karte hue sabse pehle doctor ko dikhaye , doctor ko islye dikhaye kyunki baalo ka girna bohat si bimari ka kaaran ho sakta hai. Doctor ki salah lene k baad aap aapne baalo ko protein vali cheeze laga sakte hai jese k MULTANI MITTHI , HAIR SPA ETC
BADE BAALO KO MAINTAIN KARNA
Sahi Tarika ki team ne jab survey kiya tou pata chal ke baalo ke girne ka kaaran ek logo ke bade baal rakhna b ho sakta hai. Kyunki jb sahi Tarika ki team ne peedit logo se pucha tou pata chala ke baal girne se pehle unhone bade baal rakhe the. Pr apko bata de k bade baal rakhne se baalo ke girne kaa koi matlab nahi hai, haa mana k bade baalo me gandgi or dandruff jyada hota hai pr aagr aap bade baal rakh rahe hai tou apko unka dhyaan tou rakhna hi hoga. Unhe regular shampoo or hair oil ki jarurat padti hai , bas usme laparvahi na barte.
BAALO PAR CHEMICAL USE NA KARE
Ab tak sabse bada kaaran baalo ka girna yehi samne aaya hai ke logo ne baalo ko acche dikhane kj liye un par chemical use kiya jiss kaaran unke baal girne lage. Or ye doctors se puchne pr b pata chala ke market me kch ese hair products hai jo baalo kaa badhna bilkul rok dete hai or fir unki jado (roots)ko khatam karke unka girna start ho jata hai. Islye baalo ko naturally ( kudarati) taur pr badhne de. Agar vo apko kudarati taur pr bure lagte hai tou unhe bure hi lagne de. Chemical use karke unhe girne pr majbur naa kare. Chemical jese ki, REBOUNDING CREAM, STRAIGHTNING CREAM, COLOUR CREAM, etc
ACCHI DIET LE
Doctors ka kehna hai ke ek acchi diet insaan k shareer se pehle insaan k baalo me dikhti hai, matlab insaan ka shareer fit or bimaari mukt hai tou vo sabse pehle baalo se pata chalta hai. Agr baal tandrus hai tou samjho shareer b tandrus hai. Islye ek acchi diet aapke baalo ko majbut or akarshit banati hai. Baalo ko b insaan k sharreer ki tarah protein minerals sab kch chahye hota hai. Islye ek acchi diet apke shareer k sath sath apke baalo ko b tandrus rakhti hai.
BAALO KO SAAF SUTHRE RAKHNE KA TARIKA
Baalo ko saf suthra rakhna ek sabse bada tarika hai baalo ko girne se rokne ka. Insaan ke shareer me baal hi ek esa hissa hai jo khula rehta hai jispar gandgi sabse jyada aati hai. Kyunki vo hmesha khule rehte hai. Or jaha gandgi rehti hai vo cheez kabi ubharti nahi hai. Islye baalo ka khaas dhyaan rakh na padta hai .
- Shampoo karna bohat jaruri hota hai.
- Shampoo hafte me bus do bar karen.
- Shampoo se pehle acche se baalo ki jaddo tak hair oil lagaye.
- Koi ulte sidhe chemical use na kare bina specialist se puche bina.
- Daily kam se kam do baar bus paani se baalo ko saaf Karen.
- Baalo ko jitna ho sake utna gandgi se bachaye .
- Baalo ko hafte me ek baar multani mitti se dhoye , multani mitti baalo ki jado ko majbut karti hai.
Ye the kuch baalo ko girne se rokne k sahi tarike. Aasha karte hai apko ye article pasand aega or apke bohat kaam aega .