NDA ke exams UPSC (Union public Service Commission) ke dwara conduct karae jate hai. Aur isko through Army,Navy,Air force of India.NDA aur NA ke exams 2 tier me conduct hote hai , pehle written aur fir service selection board.Inke exams ke lea aapko aandar se positivity aur self motivation badhana hoga.Is article ke
dwara mai aapko NDA ke exams ke taiyari karne ke lea aese tips jisse aapke confidence badh jaege.
Paper ka pattern jane
Nda ke exams ke 2 phase hote hai. Mathematics (300marks) aur General Ability Test(600marks) . Candidates ko 2 and half hour ka time milta hai paper finish karne ke lea.Aur questions objective type hote hai.
Syllabus jane
Paper 1: Mathematics: Algebra, Matrices and Determinants, Trigonometry, Analytical Geometry of two and three dimensions, Differential Calculus, Integral Calculus and Differential Equations, Vector Algebra, Statistics and Probability
Paper 2: General Ability Test:
Ye Tips aur tricks follow kare exams ke taiyari ke lea.
- Candidates ko schedule plan karna chaheye aur time ko divide kare dono paperon ke lea.
- NCERT book zarur padhe.Isse aapke kai sare confusions dur ho jaenge aur aap ache se seekh bhi jaoge.
- Mathematics ,Physics ,Chemistery,Inhe padhne ke lea 12th class ke book zarur dekhe.Inke aadhiktar questions 12th ke book se he hote hai,iska concept clear kar le.
- Biology ,Geography ,History ,Political science ,Economics class 10th ke book se taiyari kari jane chaheye.10th ke book in exams ke lea bahot kaam aate hai.
- Aapko Mathematics ke basic knowledge zarur honi chaheye,kyuki kai baar questions statement ke roop me bhi hota hai yaa fir solve karne ke lea bhi hota hai
- Aapke paas ek quick revision sheet hona chaheye,jaise ke us sheet me aap point wise important cheez likh sakte ho,jisko ke aap actually ek baar padh kar piche ka sara kuch yaad kar sakte ho.
- Jo english ke questions hote hai usme usme zyadatar questions General Ability se hote hai. To aap apne Comprehension,Basic Grammer , aur Vocabulary par zyada dhyaan de
- English section sabse zyada marks cover karta hai,200 marks. Islea English sabse scoring subject hai NDA ke exam me. islea English ke taiyari ache se kare.
- Aapko antim din nahi,abhi se he apne vocabulary par dhyan dena hoga aur apne general awarenes par bhi dhyaan dena hoga.
- Aapne Physics par bhi dhyaan de. Jaise ke physics ke topics aur concepts par dhyaan de.Practicle kare aur apna concept ko aur bhi majboot kare.
- Chemistery me aapko basic concept bilkul clear rehna chaheye,elements ke classification,compounds and mixtures ye sab bilkul clear hona chaheye.
- Aapko Enviromental science jise ke ham EVS kehte hai aue General science. dono par vishehsh dhyaan dena hoga.
- Aapko India ke history ke bhi jaankari honi chaheye,jaise ke India's Struggle for Freedom, constituency of India , aur India ka political scenario par bhi aapke paas jankari honi chaheye.
- Current Affairs aese cheez hai jo ke questions me poonche jaate he hai. Aur aapke lea ye section bahot important bhi hai. Aapko events pata hona chaheye jo ke pichle 5 saal me hue hai.
- Sample question paper zarur solve kare. kisi bhi book store me aap sample paper le sakte ho jiske sath aapko practise paper bhi milega. pichle 5 saal ke sare questions solve kar le.
- NDA ke books bhi aate hai jo ke aap online bhi purchase kar sakte ho,usme aur ache tarike se aur viksit tarike se saara kuch bata rehta hai jisse ke aapke concepts aur bhi clear ho jaenge.
Is blog ko padh kar aap samjh gae honge ke aapko kis kis vheez par vishesh dhyaan deni hai aur aap ek plan ke anusar apne preparation bhi kar sakte ho. aasha karta hun ke aapko ye post pasand aaya hoga ,kuch poochne ke lea aap coment kar sakte ho,thanks. stay connected.
Thanku for instruction kya aap bta skte h ki bank ki tyari kaise kre kya aapka koi whatsapp group h
Abhi aap filhaal https://www.facebook.com/groups/1935503840022242/ iss facebook ke group se jud ke jaankari le sakte hai.