Videsh ghumne ka man sabhi ka rehta hai,Par India me Videsh ghumna aam aadmi ka bas sapna reh jata hai.kyuki ye sasta bilkul bhi nahi hai. Is blog ke dwara mai aapko bilkul simple steps me samjhaunga ke aap kaise koe bhi desh ghum sakte ho,aur wo bhi kam budget me. Iske lye aapko kuch steps follow karne honge jo
ke neeche likhe hue hai.
Decide kare ke kahan jana hai ?
Pehle ye zaroor decide kare ke aap jana kaha chahte ho. Agar aapka budjet low hai to aap Latin America ghoom sakte ho.Wha ke economy thode kam hai to aapko thoda sasta padega. latin america me aese bahot sare country hai jaha aap ghoom sakte ho. Jaise ke Peru, Chile, Costa rica, Mexico,Columbia. In jegah par aapko bahot saari achi scenary aur bilkul he alag environment milega.Jise ke aap beshak enjoy karoge. Islea aap apne doston aur rishtedar jo ke pehle bahr gaye hue hai ,unse salah zarur le.
Apne trip ka samay nishit kare
Aapne trip ke awdhi (duration) zarur nischit kar le. Isse aap apna budget plan bhi kar sakte hain. Jaise ke agar aap 1 hafte ka trip plan karte ho to internet se us jegah ke puri jaankari le le. Ye bhi dhyaan rakhe ke aapko waha pahuchne me ketna time lagta hai,kyuki aapke 2-3 din aane jaane me he lag jaenge.
Bag pack ka dhyaan rakhe
Dhyaan rahe ke aap nikalne se pehle apne bag pack me saare zaruri saaman rakh le. Aap ek list bna le ke aapko kisi kis cheez ke zarurat pad sakte hai. Us hisaab se aap cheezo ko rakh le. Yaad rahe ke budget se kuch extra paise bhi apne paas rakh le. isse aage aapko koe dikkat nahi hoge.Us country ka currency pta kar le aur us hisaab se paise le jaaye.
Activity ko plan kar le
Aap jo bhi activity karne wale ho us jegah par uski planning pehle he kar le. jaise ke aap waha kab pahuchoge or fir uske baad kya kya karna hai. Jis hotel me rukna hai waha pehle he booking kar le aur jo bhi adventurous activities karne hai uske list bana le. Aur uske costing bhi deekh le. Agar aap kuch thrilling karne waale ho to uske lea pehle he taiyaar rahe aur puri jaankari le le.Sarkar ke taraf se Traveling Insurance bhi milta hai.to iske baare me bhi pta kar le,ye aaoke safety ke lea hai
Ye zarur yaad rahe ke aap puri taiyari ke sath nikal rahe ho,agar kuch bi problem ho ya janna ho ke kis time kaha jaana sahi rahega to zarur comment kare. Thanks ,Stay Connected.