Aaj kal kisi ka bhi aasani se pet khrab ho jata hai, or bahar ka jyada khane se pet khrab rehta hai gas ban jati hai or bhuk bhi nahi lagti, ye sab common problem hai sabhi ke sath, or kuch logo ko pet me garmi ho jati hai, jisse or bhi kafi bimari ho jati hai body mai, par ham in sab ye bacch sakte hai,Agar aapka pet garam rehta hai
to aapke muh me bhi dikkat ho sakti hai,aur aapke chehre par bhi asar dikh sakta hai , jaise ke Pimples wagera,ya muh me chaala pdna
Narial pani
Narial pani hamare pet k liye ek bahi acchi davai bhi bol sakte ho, ham normal life me bahut si cheeze kha lete hai jinse pet or bhi khrab ho jata hai to aap ek narial pani to pee he sakte ho. ye aap k pet ko thada rakhta hai,
Nimbu pani
Nimbu pani bhi hmare liye bahot faidemand hai, jisse ki hame bahut fayada hota hai, garmi ke time me to isse accha kuch bhi nahi hai , nimbu aap ko garmi se ladne ki takat deta hai, or skin ko bhi thanda rakhta hai, or isko pine se aap me thakan bhi nahi aaegi,
Gunguna pani
Pani pina body ke liye bahut accha hota hai chahe vo garam ho ya thanda, par agar aap subha uth kr gunguna pani pite ho to vo aap kiye bhut accha hoga usse aap k pet me kabhi gas nhi baegi, or aap ko bhukh bhi aachi lagegi, kuyki ye aaj kal aam bat hai kisi ko bhi gas ho jati hai, to aap gunguna pani pee kar aapne aap ko gas se bacha sakte ho
In tariko se aap apne pet ko thanda aur dimag ko shant rakh sakte ho.Kyuki jab tak ke aapke sharir ka har ek part sahi kaam kar raha hai tab tak aap tansion free zindgi jee sakte ho. Aasha karta hun ke aapko ye blog pasand aaya ho. Kuch bhi puchne ke lea aap comment kar sakte ho.Thanks.Stay Connected