Bahot log dandruff se pareshan rehte hain aur iska samadhan bhi nahi nikal paate. Par is blog se aapko ham dandruff se kaise bache iska tareeka batenge.Pehle to ham ye jaan le ke hamare baalon me dandruff hota kyu hai.Ye zyadatar dry scalp ke wejah se hota hai jo ke ek skin condition hai jise ham seborrheic dermatitis ka
naam dete haun.ye ek fungus ke wejah se bhi hota hai jiska naam malassezia hai. Is ski conditions par based bahot saare shampoo bhi aaye hue hai jinme ke zinc pyrithione hota hai.Isse aapka scalp loose ho jata hai aur shampoo se sare fungus dhul jaate hain.
Is blog ke dwara aap jaan paoge ke aap dandruff se kaise bache
Aspirin
Aspirin me bhi wahi ingredient hota hai (salicylic acid) jo ke kisi medicated shampoo me hota hai. Aap do Aspirin le kar use fine powder me crush kar le aur jis shampoo ko aap use karte ho use kuch quantity me le kar usme mix kar lo,baal me lagane ke baad ise kam se kam 2-3 minute ke lea chor de aur fir sar ko dho le plain shampoo se .
Tea tree oil (chaipatti ke ped ka tel)
Ek study ke mutabik agar kisi shampoo me kuch matra me tea tree oil hota hai to use aap dandreff ke samasya ke lea istemaal kar sakte ho. to kyu na apne shampoo me ise khud he add kar ke use kare,isse aapke baalon ko aur bhi nourishing milega.
Baking Soda
Ye har ghar me available hai par bahot kam log jante hai iske dusre use ke baare me.Aape hathon ko geela kare aur baking soda laga le aur fir halke halke se ise apne scalp pr lagaye. baking soda us fungus ko rokta hai jo ke dandruff badhata hai. isko lagane ke baad apke baaal dry zarur ho jaenge thode der ke lea par kuch hafto ke baad apke scalp khud he natural oils produce karne lagenge aur aapke baal uske baad dandruff free rahenge.
Nariyal ka tel (coconut oil)
Ye sabhi ko pata hai ke nariyal ka tel apke scalp ke lea bahot he healthy hai,yaha tak ke bahot saare shampoo me ye pehle se he hote hai.Aap ye kar sakte ho ke shower lene se pehle aap 2-3 tablespoon oil le kar pure scalp par ache se message kar le aur ise ghante bhar ke lea chor de. sse aapke scalp aur bhi healthy rahenge.
Aloevera
Agar aapke sar me khujli hoti hai or dandruff bhi hai to aap aloevera gel le kar apne sar par scratch kare aur chor de aadhe ghante ke lea,isse aapke scalp ko thandak milte hai . Ise aap shampoo karne se pehle kare to aapko aur bhi zyada faida hoga.
Olive oil
Olive oil laga kar use puri raat apne sar par chor de. 10 drop oil le kar use massage kar le aur shoer cap pehan kar soo jae.subeh uth kar shampoo kar le.aesa ek hafta karne se aapo bahot faida mehsus hoga.