Aajkal sabjiyon ki bahut problem hai ki who garmiyon me bahut der tak nahi rah paate aur sukh jaate hain. Hamare paas unko fridge me rakhne ke alawa aur koi upay nahi hota par kai sabjiyan usme bhi pahle jaise taaje nahi rah paate hain. Ye article aapko batayega Muttor Ko Hara Aur Taaja Rakhne Ki Widhi.
Pahle humlog hari muttor ko lenge use muttor ke daane nikal lenge phir use ek bhagone me daal kar
- 3 litre paani aur ek kilo muttor ke saath paani me ek chamach namak dalenge aadha chamach cheeni dalenge phir jab paani ubalne lagega toh usme nikale hue muttor ke daane dalenge.
- Jab wo paanch minute tak ubal jayega toh ek chhani se muttor ke daano ko paani se nikal denge phir use ek kapde pe phaila denge aur jab uska paani sukh jayega toh use bade zip wale polybag me usko pack kardenge aur use freezer me rakh denge.
- Yah muttor lambe samay tak hari aur taaji bani rahegi yah muttor ek saal tak swadisht bani rahege.
- Yah muttor bilkul bhi nahi sadege aur ye bilkul healthy rahege.
- Yadi isme se ek bhi step chut gaya toh yah muttor kharab ho jayege.
- Isliye ise dhyan se karein ise ek saal ke andar kabhi bhi istamal kiya jaa sakta hai yah widhi aapko madat karege jab aapne muttor ko sarde me kharida aur aap use garmi tak rakhna chahte hon.
Umeed karte hai ke aapko ye widhi pasand aayi hogi. Aaj aapne iss blog ke dwara jaan liya hai ke Muttor Ko Hara Aur Taaja Rakhne Ki Widhi kya hai.