IT(Information Technology): Yah Computer se related hai, jisme Data ya Information ke baare me vistaar me study ki jati hai. Jaise Computer data ko retrive, store, send ya manipulate kaise kiya jata hai.
Isme Data ke baare me sabhi jaankari di jaati hai jaise Data Storage, DataBase, Data Retrieval, Data Transmission, Data Manipulation etc.
Agar Aapka Interest Computer me jada hai to aapke liye IT ek best Branch hai. Iske Jariye Aap apni Computer ki knowledge ke kaafi had tak badha sakenge.