Jiska Aapko kafi samay se intzaar tha ab WhatsApp ne Aapke intzaar ko khatm kar diya hai. WhatsApp ne apna naya Payment Feature Launch kia hai. Jiski Sahayta se aap money transfer aur receive kar payenge. Jaane Poori Jaankari:
Aapki Jankari ke liye bata dein ki abhi sabhi Users is feature ko apne phone me nahi dekh paa rahe hain. Par Agar jiske me ye feature aa chuka hai aur wo aapko aisa message karta hai tb aap agar apni App ko relaunch karenge tb ye feature aapke me bhi aa jayega.
Saaf Shabdo me kaha jaaye to agar aapke kisi dost ke phone me yh feature aa chuka hai aur aapke me nahi aaya hai to agar aapka dost aapko is feature ka message bhejega to aapko yh feature WhatsApp ko relaunch karne par mil jayega.
Ye Feauture Android aur iOS dono hi mobiles ke liye hai. Yh Len-den Lagbhag Paytm jesa hi hai. Dekha Jaye to Ab yh feature paytm ko takkar dene wala hai.
Ye Bhi Jaane:
Is Feature Ko Kaha Se Dekhe?
Yah Naya Payment Feature Aapko WhatsApp ke Settings Me Show Hoga. Isse Users Direct Bank Transfer kar payenge.
WhatsApp Ne Kis-Kis Bank Se Ki Hai Saanjhedari?
HDFC Bank, Axis Bank, Punjab National Bank, State Bank of India, YES Bank, Allahabad Bank.
UPI ko Kaise Kare Activate?
- WhatsApp me Setting par jaye.
- Ab Payment option par click karein.
- Ab Apna Account Add Karein.
- Add New Account par click karein.
- Rules ko mante hue Ok par click karein.
- Ab Apne Number ko Verify Karna Hoga.
- Jab Aapka Number Verify Ho Chuka Hoga to bank ki list aayegi.
- Jis bank ka account hai use choose karein.
- Ab Aapko apne debit card ki last 6 digits likhni hain.
- Ab iske bad Uski Expiry Date likhein.
- Ab Agr Aap kisi bhi chat par click krke payment option ko dekhenge to wo enabled hoga.
Agar Aap ko Paise Bhejne hain to sender aur receiver dono ke me yh upadate hona jaroori hai. Is Feature se users ko kafi aasani hone waali hai.