Pyar ke ishare ko samajne ka tarika bhut hi asan lagta hai. Lekin haqeqat ye hai ki ye jitna sujha hua dikhta hai utna hi pechida hai .
“Unki nazar keh gae jo unka dil na keh saka; Hum ishara na samjh paae aur tanha reh gae..!”
Apko bhi aisi hi chinta lagi rehti hogi ke apko koe pasand kerta hai ya nhi. Kabhi kabhi ap kisi ko pasand kerne lagte hai lekin apki chinta ye rehti hai ki kya vobhi mujhse pyar kerti hai ya nhi.
Halanki vo bhi kae baar ishare me apko bata chuki rehti hai, lekin us ishare ko ap samjh nhi paate
Kbhi kbhi apko aisa bhi lagta hai ke vo apse pyar kerti hai. lekin bad me apko ye ehsas hota hai ki vo sirf aik galatfermi thi.
Agar ap ishare samjh bhi lete hai to bhi ap unse baat kerne ki himmat nhi ker pate .Pichle blog me humne apko btaya tha ki ladki se baat kyse shuru kerte hai.
agar apne nhi padha to yha click kerke padh le:
Pyar Ke Ishare Kyse Samjhe
1) Nature me badlav aana
- Jab vo apse pyar kerne lagegi to apko uske nature me thoda badlav dikhega. Vo apke har baat ko importance degi.
- Agar bhid me kae log baat ker rhe honge aur ap bhi kuch keh rhe honge to vo apko sunna pasand karegi.
- Apko dekh ker unki ankho me chamak rahegi aur honto pe khushi.
- Agar ap uske pas se guzro aur ap use na dekho to vo apka attaintion pane kelea ya to zor se bolegi ya hansegi. Taki ap palat ker use dekho
2) Humesha Aik Jysi Feeling Rehna
- Jb bhi koe apse pyar kerta hai to vo humesha bahana khojta hai apko dekhne ka
- Chori chori apko dekhne ki koshish kregi.Khasker jab apne dosto ke sath ho
- Jab vo apne dosto ke sath masti ke mood me rhegi to haste hue vo apko zaruur dekhegi
3) Ankho Ke Ishare
- Jo zuban na kehsaki vo aankhe bol jati hai
- Ankhe kabhi jhut nhi bolti. Agar vo apse pyar kerti hai to to aankho hi aankho me ishare zaruur honge
- Agr ap un isharo ko nhi bhi samjhe phir bhi kabhi nazarandaz mat kejeaga. Kamse kam muskura dejeaga
- Agar ap uske ishare ko nazarandaz ker denge to vo ishare kerne se bhi hichkichaegi
4) Humesha Apni Akno Ke Samne Khojna
- Bahane ker ker ke apko bulaegi
- Kuch din mulakat na ho to bechaini uske chehre pe saf nazar aaegi
- Vo sirf apko dekhna chahegi apki baate sunna chahegi
Payar Ke Ishare Ko Samajhne Ka Asan Tarika
1) Pass Aane Ke Bahane Dhundna
- Agar vo apse pyar kerti hai to kisi na kisi bahane se apke pas aana chahegi
- Kabhi apni problem ko leker ya apni saheli ki problem leker apke pas aaegi
- Bhale hi apse baat na ho, lekin apke bagal se bhi guzar ker uske chehre pe khushi ajaegi
- Bar bar kuch aisi harkat kerna jisse apki nazar usi pe atki rahe
2) Narazgi Ka Izhar kerna
- Agar vo apse payar kerti hai to beshak use naraz hone ka bhi haq hai
- Agr ap usse baat nhi karenge ya uski taraf nhi dekhenge to uske chehre pe narazgi zaruur jhalkegi
- Agr ap kisi aur se baat ker rhe ho to chahe apko uske sath koe bhi rishta ho , vo use acha nhi lagega
3) Khamosh Rehna
- Kae baar agr ladki apko chahti hai phir bhi apke pas jane se hichkichaegi
- Vo khamosh khamosh rehne lagegi
- Apne dil ki baat kehne me kae adkiya sharmati hai, ap pas aao to vo apse duur bhagengi
- Lekin apko unki har harkat ko kareeb se janna hoga. Agr ye sari harkate vo sirf apke sath kerti hai to beshak uske dil me apke lea pyar hai
Kisi ke dil ki baat janne kelea apko kisi love guru ki zarurat nhi. Bas apne dil ki sune aur thoda waqt de. Jaldbazi na kare. Kyu ki kabhi kbhi jaldbazi me ladkiya comfortable nhi hoti aur dil ki baat dil me hi reh jati hai
Umeed kerta hu apko ye blog pasand aaya hoga. Comment section me hume zaruur btae apne experience ke bare me.