Aadhar Card Ke Liye Apply Karne Ka Sahi Aur Asaan Tarika

Aadhar Card ek esa document (dastavej) hai jo apko government se milne vali facitlities aur benefits ko aaptak pohachata hai. Sahi Tarika ki team apko bataegi Aadhar Card Ke Liye Apply Karne Ka Sahi Aur Asaan Tarika.

Jab bhi aap sunte hoge aadhar card ke bare me tou sochte hoge ke main bhi banva leta hu. Aap banvana bhi chahte ho tou bhi nahi banva pate kyunki apko uss cheez ki jankari nahi hoti  hai. sahi tarika ka yeh article apko bohat kaam aega. Aur iske dwara aap online aadhar card apply kar skte hai.

PROCESS TO APPLY AADHAR CARD

  • sabse pehle aapke pass sare documents hone chahye jo aadhar card banvane ke liye kaam me aate hai .
  • aap aadhar card online be banava sakte hai , bas apko UDIAI naam ki website kholni hogi. aur fir usme hindi english dono me kuch steps diye gaye hai unhe bhare or aadhar card ke iye apply karde.
  • apko apne pass ka koi enrolment office (govt. ke dwara khole gaye aadhar card ke offices) dhundna hoga.
  • than enrolment office se aap apne aadhar card ko online apply kar sakte hai.
  • agar aap online apply nahi karna cahahte tou koi baat nahi, par fir apko aadhar card ke office jana hoga. online apply karne se apka time aur apka efforts bohat kam waste hoga.
  • jis din apko aadhar office jana ho tou yaad rakhe aapne appointment pehle se hi online book kar rakhi ho.

Yeh bhi padhe: Indian Army Soldier Clerks Exam ki sahi tarike se jaankari

Aadhar card centre par pohachne par kuch cheeze jo apko karni padh sakti hai.

  • apko ek form diya jaega jiska naam hai enrolment form. ussey bharna hoga. usme kuch baatein puchi jaengi unka jawab dena hoga aapko. jaise ke , ghar ka no. , mobile number, aur b kuch personal details bharni hogi form me.
  • form ko bharne ke baad ussey maange gaye documents ( proof of identity , proof of address) ke sath laga kar submit karde.
  • form submit karne ke baad apko apna photo, fingerprints aur iris (aankh ki putliyaan) ki photos bhi deni hogi.
  • ab apka aadhar card apply ho chuka hai, aur haan last me apko ek enrolment number ki slip milegi ussey lena na bhule usme 14 digit ka apko enrolment number diya gaya hoga.

Kuch esi states bharat ki jinme aadhar card apply karne ke liye registrar office jana padta hai. uske liye har ek insan ka khud jana compulsary (jaruri) hai.

Yeh bhi padhe: Product Ki Sales kaise badhaye | Ek Achcha Salesman Kaise Bane

  • ARUNACHAL PRADESH
  • JAMMU & KASHMIR
  • ASSAM
  • MEGHALYA
  • MIZORAM
  • ODISA
  • TAMIL NADU
  • WEST BENGAL
  • DADAR AND NAGAR HAVELI
  • ANDAMAN AND NICOBAR ISLANDS
  • LAKSHYADEEP
  • UDUPI
  • UTTARA KANNADA
  •  HAVERI
  • DEVENGERE
  • CHIKKABALAPUR
  • KODAGU

Check aadhar enrolment status

Ghar bethe check karen apne aadhar card banne ka process, bus apke pass apki enrolment slip honi chahye. Enrolment status ko check karne ke liye apko UDIAI Website par jakar  apna enrolment number dalna hoga. aur fir apko sara process pata chal jaega.

Yeh bhi padhen: Microsoft Word Online Sikhe | Basic Commands | Photo Ke Saath

Check aadhar through sms

aapka aadhar number apke phone me bhi massage ke taur par b asakta hai, uske liye apko bus UDAI website par jakar apna enrolment number dalkar , apna phone number register karen.

in sab kaamo ke baad apko apka aadhar card 90 days ke andar  ghar bethe mil jaega. apke ghar par adhar card indian post ke dwara pohach jaega.

Aasha karte hai sahitarika ka yeh article Aadhar Card Ke Liye Apply Karne Ka Sahi Aur Asaan Tarika apke behad kaam me aega. Aur jaankari ke liye jude rahiye bharat ki ek matr hindi blog website sahitarika se

Leave a Reply