Aankhe pure shareer ki sabse nazuk cheez hoti hai. Agar Hum iska sahi tarika se khayal nahi rahenge toa baad me hame wrinkles ho sakta hai. Aur bhi bahut si bimariya ho sakti hai agar aap apne Aankhon ka khayal na rakhe toa. Iss Blog me hum aapko batayenge ke Aankhon Par Se Wrinkle Hatane ka Asaan Aur Sahi Tarika Kya hai.
Aankhon Par Se Wrinkle Hatane ka Asaan Aur Sahi Tarika Neeche Bataya Gaya Hai use acche se padhe.
Jab bhi hum kisi se baat karte hain to sabse pehle insaan aankhon se interact karta hai. Aankhen hamare sharer ka ek aham hissa hai. Waqt ke sath sath hum budhe hone lagte hain aur hamari aankhen bhi budi ho jati hai. Unme wrinkle aane lagti hai. Hum apne aap ko budha hone se rok to nhi sakte par haan hum ispar kaboo zaroor kar sakte hain.
Aayie jane aankhon par se wrinkle hatane ka asaan aur sahi tarika
Sabse pehle aapko kuch exercise bata dete hain jo aapko roz marra ki zindagi me karne se aacha result mil sakta hai.
- Wrinkle hone ki badi wajah hai skin ka dheela hona. Iske liye aapko har roz 5 minute k liye aankhen band karni hai. Aur jab kholen to aankhon ki putliyon ko 5 baar seedhe tarah ghumaye aur 5 baar ulti taraf. Aisa karne se aapki aakhon ko aaram milega aur khonn sanchaar badhega.
- Dusra tarika ye hai ki aap apni aankhon ko halke hahin se dabayen. Lagbhag 10 baar aisa karne se aapki aakhon ki muscle tight hogi aur wrinkle aane se rok payegi.
- Neend hamari aakhon aur health k liye bahut aachi hai. Hume poore 8 ghante ki neend leni chaiye aur sath sath har din 8 glass pani peena chaiye.
- Jab bhi aap ghar se bahar nikle to sunglasses pehnna na bhulen. Sunglasses aapki aankhon ko direct sunlight se bachata hai aur wrinkle se door rakhta hai.
In sab tarikon ko aap roz kar sakte hain apne mutabik waqt par. Inme aapko zada time dene ki zaroorat nhi hai.
Wrinkle hatane Ka Sahi tarika Neeche Likha hai:
- Cucumber Juice ( Kheere ka juice )
Cucumber yani Kheera. Kheere ka juice aankhon ke liye bahut hi labhdari hota hai. Ek chote kheere ko aachi tarah se mash Karen aur uske juice ek saaf bowl me nikalen. Ab is juice ko rooyi ( Cotton ) ki madad se aankhon par 15 minute ke liye lagayen. Apne aakhon ko baad me saaf pani se dho len. Ya fir aap kheere ki patli patli slice kaat kar bhi apni aankhon par rakh sakti hai. Dono tarike hi aapko jald hi labh denge.
- Olive Oil Cream ( Jaitun ka tel )
Olive oil yani Jaitun ka tel. Jaitun ke tel me vegetable glycerine aur Vaseline milayen. Is cream se aankhon ki maalish Karen kareeb 10 minute ke liye aur for gungune pani se dho len. Ab isi cream me honey yani shahad milayen aur fir se 5 minute ke liye maalish Karen. Honey aapki aankhon ko moisturize karta hai.
- Papaya and Honey Mask ( Papita aur shahad )
Papita ki kuch slice ko aache se mash kar len aur isme ek chammach honey mila len. Isme zaroorat anusaar gulab jal milayen aur is paste ko aankhon par 15 minute k liye laga k sukhne den. Is tarike ko hafte me 2 baar Karen. Aapko aacha result milega.
- Turmeric aur Honey ( Haldi aur shahad )
Haldi ko hum bahut purane time se use karte aa rahe hain. Kabhi kisi riwaz k taur pe ya kabhi zaroorat se. Haldi hamari skin ke liye bahut labhdayak hai. 2 chammach haldi me 1 chammach shahad milyen aur ise aaknhon ke neeche aur face pe lagayen. Ye aapko natural chamak dega.
- Olive Oil aur Lemon ( Jaitun ka tel aur neembu )
Jaitun ke tel me kuch boonden neembu ke milane se au rise sahi tarike se aankhon k neeche aur chehre par lagane se aapki aankhon ki wrinkle bahut jald hi khatam ho jaengi. Ise regularly lagane se bahut aacha result milega.
Ye sab tarike sabse aache aur pramanit hai wrinkle hatane ke liye. Apni mehnat se kamaye hue paise faltu chemical ki cheezon pe kharch karne ke bajaye sahi tarike se istemaal karna seekhen. Ye sab sabse asaan aur sahi tarike hai apni aankhon aur chehre ki dekhbhal karne ke liye. Aur vo bhi bina kisi side effect ke
Agar aapko ye Blog padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.
Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.