Affiliate program me samaan ya product agar aap bikwane me madad kare toa aapka uss samaan ya product ke price me se kuch percent commission milta hai. Amazon bhi ecommerce ki ek bahut badi website hai jispe aap Affiliate program me free me register kar sakte hai. Iss Blog me hum aapko batayenge ke Amazon Affiliate Program Se Jud Kar Paisa Kamane Ka Sahi Tarika Kya hai.
Amazon Affiliate Program Se Jud Kar Paisa Kamane Ka Sahi Tarika Neeche bataya gaya hai
Amazon ke Affiliate Program me khud ko jodne ke liye zaruri nahi hai ke aap ke paas apni website ho. Sirf inka link ya coupon code kahi bhi share karke aap paisa kama sakte hai.
Aap ko sabse pehle Amazon ke Affiliate program pe register karna hoga. Fir isme bahut se products hai usme se koi sa bhi product aap promote kar sakte hai. Har product ka ek price hai aur fix commission hai.
Isme aap Sales ka amount ka 1% se lekar 12% tak kama sakte hai. Neece diye gaye chart me bataya gaya hai ke, kaun se product ko sale karwane se aapko kitna percent commission milega.
PRODUCTS CATEGORY | COMMISSION % |
Kindle eBooks | 10% |
Consumer Electronics | 4% |
Televisions | 4% |
Gift Cards | 2% |
Clothing | 12% |
Shoes | 12% |
Beauty and Health | 10% |
Books | 10% |
Music, Movies, Video games and Software | 6% |
Cars, Motorbikes and Industrial Products | 10% |
Toys and Baby Products | 10% |
Watches | 10% |
Jewellery | 10% |
Gold and Silver coins | 0.3% |
Home and Kitchen | 10% |
Kindle Devices | 10% |
Luggage and Bags | 10% |
Sports, Fitness and Outdoors | 10% |
Office and Stationery | 10% |
Musical Instruments | 10% |
Gourmet and Specialty Foods | 10% |
Data Storage Devices | 2% |
Major Appliances | 10% |
Symphony, Kenstar, Bajaj, Crompton air coolers | 6% |
Aap ye samajh le ke aapki ek dukaan ho gayi aur usme bahut saare products aa gaye. Na aapko kuch invest karna hai aur na hi samaan ya products ki dekhbhal ya delivery. Bus inko promote karte rahe. Jub bhi koi bhi aapke promote karne ke dwara inn samaan ko khareedega aapko uska commission mil jayega.
Amazon Ke Affiliate Program me Account Kaise Banate hai
Agar aap Amazon ke purane customer hai, ya kabhi isme account banaya hua hai. Toa Aap "I am a returning customer" waale pe click karke apna ID aur Password daale.
Isme aapko bahut saare Marketing Ke material bhi diye jayenge jaise ke Link, Banner or bhi bahut kuch jiski madad se aap iske products ko achche se promote kar sakte hai.
Agar aap sirf 5 se 10 loago ko bhi kuch bhi samaan bikwa dete hai toa mahine ki aamdani aapki 20 hazaar se upar ki hogi.
Aaap Amazon Affiliate Program se neeche diye gaye link pe click karke Free me jud sakte hai. Bus aapko apna thoda sa detail dena hoga.
Umeed karta hu ke aapko Amazon Affilite Program Se Jud Kar Paisa Kamane Ka Sahi Tarika Jan Kar achcha laga hoga. Agar aapko iss Sahi Jaankari se Fayeda hua ho toa apne dosto ya jaane waalo ko bhi bataye aur ye jaankari share kare.
Agar aapko ye Blog padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.
Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.
Main paise kamana chahta hun aapke sath kam karna chahta hun
email kare aap mujhko tarikasahi@gmail.com