Amazon India Ne 60 Employee’s Ko Kaam Se Nikal Diya Hai, Kyu ?

Amarica ki badi e-commerce company Amazon ne India me employee’s ki chhatani start kardi hai.Isi ke chalate Amazon ne 60 Employees ko kaam se nikal diya hai.To isi Chhatani ke wakif 2 employee’s ne ek ne yah btaya hai ki aane wale dino me Amazon aur bhi employees ko nikal saksti hai.

Kyoki amazon ne 25 feesdi employees ko performance improvement me dal diya hai.Aur wahi dusri side Amazon ne yah bhi is cheej ki pushti bhi ki hai. Aur yah kaha ki unhone company ke global restructering plan ko dekhate huye yah kadam uthaya hai.

Company ke pravataa ne kaha,”Amazon Ek global company hone ke naate hamne yah realize kiya hai.Ki hame apni teamo ko suniyojit tariko se nirman karne ki jarurat hai.Taaki ham hmesha active bane rahe.Aur apne sadhano ko behatar bhi bana sake.Aur isse company ke kuch employees par kaafi asar pada hai.Aur ham un employees ko pura support bhi kar rahe hai.Aur un employees ko anya karyo me lgaya ja sakta hai.Aur usne kaha ki India me 4000 vacancies hai. Jin par hiring bhi chal rahi hai.

Aapko btadei ki isi year me Amazon ne Fabuary me kuch employees ko apne headquater se bhi nikala tha.Aur Economics times ne us waqt apni Reports me kaha bhi tha.Ki is cheej ka asar India sahit uske pure kaamkaaj par pad sakta hai.Aur pichale kuch mahino me Amazon ne Indian business ki bhi Naye sire se starting bhi ki thi.

Usi ke chalate kuch employees ko nikal kar Anya kaamo me lgaane ka decision liya tha.December 2016 me company me employees ki sankhya 3.4 lakh ke karib thi.Jo ki december 2017 me 5.6 lakh pahuch gayi thi.

Yah bhi Padhiye-

Apna Driving License Renewal Kaise Kare- Sahi Jaankari

Launch Hone Se Pahle Hi Bharat Me Sasta Hua Nokia 6-

Apna EPF Balance SMS Ke Dwara Kaise Check Kare-

Leave a Reply