WhatsApp Ek Aisa Messaging App Hai Jise Sabse Adhik Istemal Kiya Ja Raha Hai. Ek Din Me Lagbhag 60 Million Message Iske Dwara Bheje Jaate Hain. Aap Sabhi Ye To Jante Hi Honge Ki Kaise Phone Me WhatsApp Ke Multiple Account Use Karte Hain Par Kya Ye Jante Hain…

Ki Kaise Laptop Ya PC Par Bhi Multiple Account Chalaye Ja Sakte Hain. Agar Nahi To Aaiye Hum Batate Hain. Kya Hai PC Par WhatsApp Multiple Account Use Karne Ka Tarika.

Kaise Kare Use?

Agar Aapko Apna WhatsApp Account PC Par Chalana Hai To https://web.whatsapp.com/ Yaha Se Aap Apna Account QR code ki madad se kholkar use kar sakte hain. Par Isi Ke Sath Aapko Doosra Account Use Karna Hai To Kya Karna Chahiye.

Tab Aapko Ek Nayi tab open karke usme http://dyn.web.whatsapp.com likhkar enter marna hai. Ab Aapko Dobara waisi hi screen najar aayegi jisme aapko QR Code ke liye kaha jayega. Aapko Apne Mobile Me Apna Doosra WhatsApp Account Kholna Hai Jo Aap PC Par Chalana chahte hain.

Ye Bhi Jaane: Kya Surakshit Hai Aapke WhatsApp Ki Jankari Ya Ho Rahi Hai Chori

Phle Wale Account Ke Sath hi Doosre Account Ko Mobile Me Open Kare Aur Yad Rakhein Jab Aap Apne Multiple Accounts Phone Me Istemaal Kar Rahe Hain Tab Dono Me Hi Net On Rakhna Hai Bhale Hi Aap Apna Account PC Me Chala Rahe Ho. Mobile Ka Net Band Karte Hi PC Ka WhatsApp Account bhi kaam nahi karega.

Net Ki Speed Slow Hone Par Kbhi Kbhi QR Code Kam Nahi Karta Hai To Net Ki Speed Bhi Achhi Honi Chahiye. Jisse QR Code aasani se scan ho paye.

Aisi hi any jankariyon ke liye hamaare sath(SAHI TARIKA) se jude rahe aur updates jane.

Source