Aaj kal loag itne busy hone lage hai ki wo apne baccho par dhyan dena bilkul chor chuke hai. Baccho ki jimmedariyo se peecha chutane k liye wo loag apne baccho ko playschools me daal dete hai. Hum playschools ko galat nahi bata rahe, par ek bacche ko uske mata peeta se bohat kch sikhne ko milta hai. Iss blog me hum aapko batayenge ke Bachcho Ko Padhane Ka Sahi Tarika Kya Hai.
Bachcho Ko Padhane Ka Sahi Tarika Kya Hai
Play school apni jagah theek hai. Par play school baccho ko sirf padha sakta hai unhe sanskar nahi de sakte. SAHI TARIKA ka ye blog un families ke liye hai jinhe apne baccho ke liye time nahi milta.
PLAYSCHOOLS
Aaj kal play school bohat hi important ( jaruri ) ho chukka hai. Play school ek chote bacche me bohat si cheezo ko lekar sudhar lata hai. Survey karne par pata chala ke aajkal mata peeta apne bacche ko play school me dalkar sochte hai ke unki sari jimmedariya ab play school ne le li. Aur unka manna bhi galat nahi hai. Play schools toa apni taraf se har koshish karte hai ke bacche ko acchi sikhsha de. Par baccha siksha toa le lega par mata peeta ka time na milne par wo padhai me toa aage rahega par baccha chidhchidha ho jayega. Isliye jitna important play school hai utna hi important bacche ko maata peeta ka time bhi hai.
TECHNOLOGY ( MOBILE ,IPAD )
90s ke loag baccho ko electronic items (mobile wagaira) se dur rakhte thhe unka manna tha ke bacche par bura asar padega. Par aajkal toa baccha 2 saal ke hota hi mobile pakadna sikh jate hai. Aajkal maata peeta ko sahi jaankari naa hone ke kaaran wo loag bacche ko sidha mobile pakda dete hai. Vo apni jimmedariyo se bachna chahte hai or unke hisab se bacche ko knowledge mil rahi hai pr wo ye nahi samjhte ke bache ki aankho par aur uske dimag par in sab cheezo ka galat asar padega.
Internet par aaj ke time me sab kuch hai baccho se lekar budho tak ki jankariya hai. Internet use karna koi galat baat nahi hai par uske liye ek umar hoti hai. Agar baccha chota hai toa mata peeta ko khud internet se jaankari lene ke baad bache ko padhana chahye naa ki uske hath me ipad ya phone de do.
SAHITAREEKA KA YE ARTICLE BAS MATA PEETA KO REALISE (BATANA) KE LIYE THHA KE BACCHO KO DUSRI CHEEZO KE SATH USSEY MATA PEETA KA SATH B CHAHYE. ACCHI OR BURI CHEEZO ME FARAK KARNE K LIYE .
Agar aapko ye blog padh ke achcha laga toa comment karke bataye. Isi aap share bhi kar sakte hai.