Ber ek aisa phaldaar ped hai jo ki ek baar Achche se Sichai kar dene ke baad Sirf Barish ke paani par bhi nirbahr reh kar phal ka utpadan kar sakta hai. Shush ilako me kai baar sukha aane ke bawajud Ber ek bahut upyogi kheti hai. Iss Blog me hum aapko batayenge ke Ber Ki Kheti Karne Ka Aasaan Aur Sahi Tarika kya hai aur ise kaise kare.
Ber Ki Kheti Karne Ka Aasaan Aur Sahi Tarika neeche vistaar se bataya gaya hai
Ber ka ped ek bahut mahatwapurn ped hai jisme phal ke alawa anye bhago ka bhi bahut aarthik mahatwa hai. Iski pattiya jaanwaro ke liye ek paushtik chara deti hai jubki iske har saal aniwarye roop se ki jaane waali katai / chchatai se prapt katedar jhadiya kheto aur daniyo ki rakchatmat baad banane ke liye upyogi hai.
Ber Ki Kheti Ke Liye Jalwayu Aur Bhumi Janne ka Sahi Tarika
Ber ki kheti kisi bhi jalwayu me ki jaa sakti hai kyuki isme kam paani aur sukhe se ladne ki vishesh chchamta hoti hai. Ber me Barish ke mausam ke dauran phool aate hai joki barish kahatma hone ke baad pakte hai. Garmiyo me iski pattiya jhad jaati hai. Ber ki kheti thande jagaho pe nahi karni chahiye, waha iski kheti achche se nahi ho paati. Balui domat mitti jiski jewansh ki matra adhik ho iske liye achchi maani jaati hai.
Ber Ki Unnat Kisme
Ber me 300 se bhi adhik kisme viksit ki ja chuki hai parantu sabhi kisme barani jagaho pe jadatar kam barish waale jagaho ke liye upyukt nahi hai. Aise jagaho ke liye Ageti aur madhyam awdhi me pakne waali kisme jada upyukt payi gayi hai.
Ber ka wargikaran nimn prakar se kiya ja sakta hai
- Ageti Kisme: Gola, Kazri Gola – Inke phal December ke antim hafte me pakna shuru hote hai aur pure January tak rehte hai.
- Madhyam Kisme: Sew, Kaithli, Chchuhara, Dandan, Senyur-5, Mundiya, Goma Kirti ityadi – Inke Phal January mah ke beech se February Mahine Tak rehte hai.
- Pachcheti Kisme: Umraan, Katha, Tikdi, Ilaichi – In Kismo ka Phal February se March Tak rehna hai.
Ber Ka Bagh Kaise Lagaye Jaane Sahi Tarika
Sabse pehle bagiche ke liye chayanit khet me se jungli jhadiyo ko hatakar charo aor katedaar jhadiya ya katili tad se baar banaye taaki Rozde aur anye jaanwaro se inke paudho ko bachaya ja sake. Khet ki tayyari May – June mhine me 6 se 7 meter ki duuri par 2 x 2 x 2 aakar ke gaddhe khodne ke saath shuru kare. Isko kuch din tak Dhoop me khula chchodne ke baad upri mitti me 20 se 25 kilo desi khaad aur 10 gram Phipronil prati gadda milakar bharai karke Madhye bindu pe ek khuti gaad de. Iske baad pehli barish se July mahine me Jun gaddho ki mitti jam jaye, toa isme paushe rope. Paudhe daalne ke fauran baad sichai kare.
Ber Ke Ped Ki Katai Aur Chchatai
Ber me Katai aur chchatai ka bahut mahatwe hota hai. Shuruaat ki baarish me jada nikle gaye shakhao ki katai zaruri hai taaki ped achche se bada ho sake. Katai aur chchatai karne ka sabse sahi mahina May ka hota hai. Sukhi shakhaye, bimmar shakhaye aur ek dusre ke upar se guzarne waali shahao ki har saal katai karni chahiye.
Ber Ki Kheti Me Khaad Aur Urwark Daalne Ka Sahi Tarika
Mitti ke anusaar khaad ka chayan kiya jaata hai Ber Ki Kheti me. Paudhe ki aayu ke anusaar bhi khaad daala jaata hai. Adhik Jaankari ke liye, neeche diye gaye Photo me Khaad daalne ka sahi Tarika bataya gaya hai.
Desi Khad, Super Phosphate aur Myuret Of Potash ki puri matra aur Urea ki aadhi matra July mahine me Pedo ke failao ke hisab se achchi tarah milake Sichai Kare. Baaki Bachi aadhi matra November mahine me phal lagne ke baad karni chahiye.
Ber Ki Kheti Ka Sichai Karne Ka Sahi Tarika
Ber ka ped ek baar achchi tarah lag jaane ke baad bahut kam sichai khojta hai. Garmi ke baad 15 June tak agar barish nahi ho toa sichai shuru kar deni chahiye. Agar Barish sahi se samay pe aaye toa September tak Sichai ki zarurat nahi arti hai. September me phool aane shuru hote hai aur 15 October tak phool aa jate hai, is time pe halki sichai kare. Phalo ke pakne se 15 din pehle Sichai band kar deni chahiye taaki phalo me Midhaas aur anye guno ka vikaas achcha ho sake. Neeche diye gaye photo me bataya jaa raha hai ke Ber Ki Sichai Karne ka Sahi Tarika kya hai.
Bimari Aur Kede Jo Ber Ki Kheti Ko Nuksaan Pahuchate Hai
Phal Makhkhi: Ye Keda Ber ki kheti ko sabse jada nuksaan pahuchata hai. Iss Makhkhi Ki Mada, phal ke lagne ke turant baad unme ande de deti hai. Ye ande larwa me badal ke phal ko andar se nuksaan pahuchate hai. Phal Makhkhi ki wajah se phalo ki Gudhli ke charo taraf ek khali jagah ho jata hai. Iski rokdham aur niyantaran ke liye May se June me baag ki mitti palte. Phal lagne ke baad jub phal matar ke daane ke size ke ho toa uss time pe Kyunalphas 25 EC , 1 milileter prati liter paani me ghol banakar chchidkao kare. Dusra Chchidkao pehle chchidkao ke 20 se 25 din baad kare.
Chchalbhakchi Keede: Ye keede nayi shakhao ke jod par chchal ke andar ghus kar ado ko kamzor kar dete hai, isi wajah se shakhaye tuut jaati hai. Iske rokdham ke liye Khet ko saaf suthra rakhe, Garmi ke mahine me Pedo ke beech me gehrijutai kare. July se August me Dyyechlorwas 76 EC 2 milileter pratileter paani me ghol banakar nayi shakhao ke jodo par 2 se 3 baar chchidkao kiya jaana chahiye.
Chefar Beetel: Iska Prakop June se July Mahine me jada hota hai. Yeh pedo ki nayi pattiyo ko nuksaan pahuchata hai, isse pattiyo me chched ho jaata hai.. Isse bachne ke liye Pehli barish ke turant baad Kyunalfas 25 EC 2 mili ya Carbereel 50 WP 4 gram pratileter paani me ghol banakar chchidkao kare.
Chchachchya (Powderi Mildiu Ya Churni Phaphund): Is bimari ka prakop barish ke mahine ke baad October se November mahine me dikhai parta hai. Isse Ber ki pattiyo, tehniyo aur phoolo par safed sa powder jama ho jaata hai, aur prabhawit bhago ki badhwaar ruk jaati hai. Isse Phal aur pattiya gir jaate hai. Iski Rokdham ke liye KeraThthen LC 1 Milileter 2 gram Pratileter paani me milakar chchidkao karna chahiye. 15 Din ke antar par do se teen baar chchidkao purna Shuraksha deta hai.
Sutimold: Iss rog se paatiyo ke neeche ki satah par kaale dhabbe dikhayi dene lagte hai jo ki baad me puri satah pe ho jaate hai, aur pattiya gir jaati hai. Bachao ke liye rog ke lakshan dikhte hi Mankojeb 3 gram ya Coper Oxychloride 3 gram parati leter paani me ghol banakar chchidkao karna chahiye.
Patti Dhabba / Jhulsa Rog: Iss rog ke lakshan November mahine me shuru hote hai. Yeh Alterneriya naam ke phuphund ki wajah se hota hai. Rog waali pattiyo pe bhure dhabbe ho jaate hai aur wo tuut kar gir jaate hai. Jaise hi rog ka pata chale Menkojeb 3 gram ya Thayofinet Mithyl 1 gram dawa prati leter paani me ghol banakar 15 din ke antar par 2 se 3 chchidkao kare.
Ber Ki Kheti Karne Ka Fayeda
Sukhe jagaho me baar baar sukha (Aakaal) se mukable ke liye Ber ki Bagwaani / Kheti bahut fayedemand hoti hai. Aksar sahi tarike se barish nahi hone se khareef ki fasle barbaad ho jaati hai. Aise me Ber Ki Kheti se aamdani zaruur se hoti hai. Pichle Kai saalo se Barani Paristithiyo aur simit sichai se prapt ausat phal aur anye utpaado se arjit aay ka vivran neeche photo me diya jaa raha hai.
Upar ddiye gaye chart se pata chlta hai ke Ber Ki khti / Bawaani na kewal Achche mausam me fayeda deta hai, balke sukhe illako me bhi achchi kami deta hai.
Iss Tarike se Ber Ki Kheti apna kar lagbhag 2 Lakh Rupaye (Sichit Awastha) aur 90 Hazaar Rupaye (Barani Awastha) prati hectare har saal kamai kar sakte hai.