Aaiye aaj ham is blog mai aapko btaynge ki jab aapke mobile mai Internet nahi hoga. Tab aap paytm kaise use kar sakte hai. Or Offline kaise paytm se paise transfer kar sakte hai. Bina Internet Ke Aise chala Sakte Hai Paytm Janiye-
Jab se Pm. Narendra Modi India ne India ko cashless banane ka faisala liya hai. Jabse hi sabhi log unko follow bhi kar rahe hai. Ham sabhi log ab Paytm ka use kar rahe hai. Lekin paytm ko Use karne ke liye hame internet ki need hoti hai. kabhi kbhi Aisa bhi hota hai. Ki hamare mobile mai internet nahi ho. To aise mai hame kaise paytm use karenge. Ham aapko batate hai.Ki bina internet ke paytm kaise chala sakte hai.
India kafi taeji se Cashless hone ki or badh raha hai. Kafi companiyo ne bahut si app or scheme bhi banayi hai online payment ke liye Or esi kram mai Paytm ke CEO Vijay shekhar Sharma ne bhi paytm ko offline use karne ki suvidha pradan kar di hai.Jisse ki Paytm users bina internet ke bhi ise Use kar sakte hai.
Bina Internet Paytm Kaise chalaye-
Ab Paytm ko use karne ke liye aapko Internet ki jarurat nhi hai. Ab aap bina internet ke bhi Paytm se paise bhej sakte hai.
- Iske liye sabse pahle aapko Paytm ka ek Toll Free number par apne phone se call karna hoga. Toll free number 1800 1800 1234 yah hai.
- Or jis number se aap call kar rahe hai. Wo wahi number hona chahiye jis number se aapne paytm ko ragister kar rakha hai.
- Ab aapko apna 4 Digit ka pin yha set karna hai. Jisse ki aap Offline payment ke samay ise use kar sake.
Yah Bhi janiye-
Network Ke Bina Bhi Aap Kar Sakte Hai Chat Or Call Janiye Kaise ?
Free Mai Mobile Recharge Kaise Kare |Sahi Jankari
जानिए कैसे अपने फ़ोन को सेकण्ड्स में फुल चार्ज कर सकते है
जानिए कंप्यूटर या लैपटॉप को बंद करने के बाद कैसे मोबाइल चार्ज करें
- Jab ek bar aapka pin yha set ho jayga to aap paytm ko offline bhi use kar sakte hai.
Jab bhi aapko Offline payment karna ho to aapko yah toll free number 1800 1800 1234 milana hai. - Ab jisko paise transfer karne hai. Uska number type karna hai.
- Fir aapko kItne paise transfer karne hai. Wo type karna hai or pin code dalna hai.
- Or Asani se bina internet ke aap kisi ko bhi paise transfer kar sakte hai.
- Is blog mai hamne aapko offline means bina internet ke paytm use karna bataya hai. Jo aapke liye bahut hi helpfull hoga. Jab aapke pas internet nahi hoga to aap apne paise kisi ko bhi bhej sakte hai.
Hame Ummid hai aapko hmare dwara btaya gaya yah article achha laga hoga or aapke liye helpful bhi raha hoga. To aap ise apne friends ya dusre logo tak bhi pahuchaye.
Yah Bhi janiye-
Facebook Se Video Download Karne Ka Aasan Tarika
Cab Book Kaise Karte Hai | Cab Booking Ki Sahi Jankari
Whatsapp Ko Hack Karne Ka Sabse Aasan Tarika, Janiye Hindi Mai