Hum is blog me aapko btane ja rahe hai ki agar aapko smartphone ki jarurat hai lekin aapka budget thoda kam hai to kaun sa phone rahega aapke liye sabse achha or aapki jarurat ke hisab se aapko kaun sa phone lena chahiye. Agar aapka budget 8000-10000 hai to ye phones aapke liye hi bane hai.Is blog ke dwara aap
jaan paoge ke budget mobile phones kya hai or aap kaise khareed sakte hain.Waise bhi aaj kal ke zamane me bahot saare Smart phones aa chuke hain aur aap saare dekh kar confuse bhi ho sakte ho
Xiaomi redmi note 4
Xiaomi redmi note 4 bazar me uplabdh sare phones se behter hai performance ke mamle me, isme laga hua snapdragon 625 is keemat me uplabdh phones se kahi behtar h.iski battery bhi kafi bharosemand hai aur ye phone puri metal ki body ke sath aata hai jo tikau hone ke stah hi kafi stylish bhi dikhta hai. Iske alawa is phone me aapko milta hai 5.5 inch ka full HD disaplayaur sath hi aapko milta h 2GB ka ram aur 32 GB ki storage. Ye phone 4100 mah ki battery ke sath aata hai jo ki aapke roj ke kaamo ke liye aadrash h.
Lenovo k6 power
Lenovo k6 note xiaomi redmi note 4 ka karibi pratidwandi hai.aapko is phone me both sare behtareen features milenge Lenovo company ke dwara, aapko milta hai qualcomm snapdragon 430 jo ki aapke rojana istemal ke liye bura nhi h lekin issse bazaar me isse behter options bhi uplabdh hai. Is phone me aapko milta h ek 5 inch ka full HD display1080p ke sath,iske sath hi aapko 3Gb ka RAM aur 32GB ka storage milta jo ki is keemat me kafi achha h. Sath hi aapko milta h 8MP ka front aur 13MP ka rear camera, ye phone bhi aapke liye ek achha option ho sakta hai.
Xiaomi redmi 3s prime
Xiaomi ne apna ye phone hal hi me launch kiya hai, ye phone v aapke liye ek boht achhi choice ho skta hai. xiaomi ke redmi 3s prime me aapko milta 5inch ka IPS LCD display 720p ke resolution ke stah. Sath hi aapko milta h 3GB ka RAM aur 32GB ka storage jise aap memory card ke dwara 256GB tak badha sakte hai. Ye phone android 6.1 marshmellow pe kam krta hai jo ki sabse nya to nhi lekin kafi achha operating system hai. Aap is phone ko kam budget me ek achha option man skte hai.
Xiaomi redmi 3s
Xiaomi redmi 3s ko aap redmi 4s ka chhota bhai bhi keh sakte hai. Agar aapka budget 7000 tk hai aur ek smartphone lena chahte hai to ye bhi aapke liye achha option sabit ho skta hai. Is phone me aapko milega 5inch ka LCD display 720p ke resolution ke sath aur sath hi aapko milega qualcomm snapdragon 430 processor jo ki is price range me kafi achha hai. Aapko iske alawa is phone me me 5 MP ka front camera or 13MP ka rear camera milega . ye phone android marshmellow 6.1 pe kam krta hai aur isme aapko 4100mah ki battery milti hai jo ki is keemat pe kisi bhi phone me nhi milti.
Lenovo vibe k5
Agar aap Lenovo vibe k5 kharidna chahte lekin aapka budget seemit hai to aap is phone ko jarur dhyan me rakhe.is phone me aapko milega ek 5inch ka LCD display 720p ke resolution ke sath. Sath hi aapko milega qualcomm snapdragon 415 processor 3GB RAM aur 32GB ke storage ke sath jo ki shayed sabse achha nhi hai lekim bazaar me uplabdh boht sare phones se behter hai. Is phone me sath hi aapko milta 2750mah ki battery aur ye phone android 5.1 pe kam krta hai jo ki thoda purana hai lekin aapko kisi tarah ki pareshani bhi nahi hogi. Agar aap Lenovo ke phones pasand krte hai to aap is phone ke bare me soch skte hai.
Aasha karta hun ke aapko is blog ke dwra bilkul sahi information mila hoga aur aap sahi mobile khareed apoge.is lea ye behtar hoga ke ap bahot ache se soch kar ek budget mobile phone khareede,kuch poochne ke lea aap comment kar sakte hain.Thanks. Stay connected