CBSE Paper Leak 2018: PM Modi Ne HRD Minister se Strict Action Lene ko Kaha aur jo bhi issme shamil hai unka pata laga jaye. Jisse ki aage kabhi fir esa na ho. Narender Modi iss ghatna ke baare me sunkar bohat hi naa khush lag rahe the.
Ek press conference me HRD Minister Prakash Javadekar ne kaha ki 10th aur 12th class ke paper leak ke peeche jo bhi culprit hoga uska pata lagaya jaega aur usske khilaf sakht karvahi ki jaegi.
Unhone ye bhi kaha ki aage se esa naa ho iske liye ek strong mechanism examination system me laya jaega. Jisse exam ke question papers leak hona na ke barabar ho jaega.
CBSE Paper Leak 2018: PM Modi Ne HRD Minister se Strict Action Lene ko Kaha
Iss pehle CBSE ne announce kiya tha ke economics (12thClass) and Mathematics(10thClass) ka exam dubara ayojit kiya jaega.
Yeh Bhi Padhein: Sanjay Dutt Apni Beti Ko Kar Sakte Hai Bollywood Me Launch! Pictures Dekhein
Saari cheezon ko dhyaan me rakhte hue aur saare students ke justice ke liye Board Of Examination ne CBSE ke kuch exams ko dubara ayojit karne ka faisla liya hai. Naye exams ki datesheet CBSE ki website par kuch dino me upload ho jaegi.
Prime Minister Narender Modi aur HRD Minister Prakash Javadekar ek press conference me yakeen dilaya ke in sab ke peeche jo jo shaksh hai unka pata lagaya jaega. Aur esa duabara naa ho iske liye kuch alag strong mechanism education system me layein jaenge.
Aasha Kartein hai ki aapko iss blog”CBSE Paper Leak 2018: PM Modi Ne HRD Minister se Strict Action Lene ko Kaha” ke dwara kuch jaankari mili hogi. Aur bhi bharat desh se judi khabrein ke liye jude rahiye Sahi Tarika se.