Chala Rahe Hai Touch Screen Phone To Ho Rahe Hai Yah Khatare

touchscreen ke khatare

Aaj kal to sabhi log touch screen ka phone istemal kar rahe hai. Sabhi ke pas smart phone hai. Chahe koi chota ho ya bada sabhi ke hath mai touch ka mobile jarur hota hai.isliye agar Chala Rahe Hai Touch Screen Phone To Ho Rahe Hai Yah Khatare.

Kuch ho ya nhi. lekin koi yah ni janta ki isko jyada use karne se bahut si problems bhi ho sakti hai.Kisi ko yah nhi pata hai ki iske mansik or sharirik taur kitne khatre hai. Izarail ke Rambam Medical center mai iske bare mai janch ki gayi hai. Janch ke dauran isse hone wale kayi khatranak Problems samne aayi hai. Is report ke according touch ke khatare yuvao ke liye jyada badh rahe hai.Kyoki yuva log hi iska istemaal bahut jyada kar rahe hai.

Center ke Pro- Niyaam shehdeh ne bataya hai, ki in phone ke karan logo ka sharirik shram bahut kam ho gaya hai. Kyoki din bhar log phone mai lage rahte hai. To bas hath or ungaliya hi chalti hai.Waaki sharir sthir rahta hai.

Report Ke Mutabik Aaye Yah Khatare Samne-

-Touch screen mobile ka use jyada karne se yuvao ka motapa taji se badh raha hai.
-Bacahho ke ankho or dimak ko bhi bahut nuksan ho raha hai.
-Bachho ki mansik or shareerik growth bhi badhit ho rahi hai.
-Iski wajah se log kam samajik ho rahe hai.
-Asal jindagi mai log internet par dost dhudte hai.In sab aadto ki wajah se touch screen use karne wala har shakhs asantusht rahta hai.
-Touchscreen use karne ka sabse bada negative fact yah hai. ki Touch screen use karne wala shaks kitna bhi chahe to bhi iski aadat nahi chuda pata hai.
-Dr.Mahesh Agarwal ka kahna hai, Ki pichle kuch samay se 3-5 saal ke bachho ka chashme ka no. teji se badh raha hai.

Yah bhi Janiye-

Network Ke Bina Bhi Aap Kar Sakte Hai Chat Or Call Janiye Kaise ?

Free Mai Mobile Recharge Kaise Kare |Sahi Jankari

Wi-Fi Ka Password Kaise Pata Kar Sakte Hai | Janiye Sahi Tarika

जानिए कैसे अपने फ़ोन को सेकण्ड्स में फुल चार्ज कर सकते है

Apni Internet Speed Ko Kariye Super Fast Janie kaise ?

– Bachho ko bahut si probles ho rahi hai. Jaise ankho ka michmichana,Headache,Thakavat, Bharipan etc.Esliye parents ko saal mai unka checkup karana bahut jaruri ho gaya hai.
-8-10 saal ke touch screen ki lat ka shikar ho rahe hai. Jisse bachho ko gussa aana,Chidchidana khatre ke sanket mane ja rahe hai.
-Isliye apne bachho par dhyan dijiye or unhe jyada smart phone Use naa karna dijiye. Jisse wo kisi khatre mai naa aaye.

Leave a Reply