Chicken Korma kaise banaye

Chicken korma to Mughlai vyanjanon ki shaan hai. Iska naam sunte hi mooh mein paani aa jata hai. Ise khane ka anand hi kuch aur hai. Ab aap soch rahe honge ki ye har kisiko banana to nai aata. kyun  na mai aaj aapko chicken korma banana sikhaun. Phir khud se bana kar jab man ho khao.

kisi hotel jakar wahan khane se achha hai aap ghar par ise bana kar aaam se khayein.


Samagri

Chicken masala- 1 table spoon

chicken- 1 kg

Pyaaz(onion)- 3-4(baarik kata hua)

Ginger and garlic paste- 2 table spoon

Elaich- 4-5

Laung- 4-5

tez patta- 2-3

Dahi- 1 cup

Daalcheeni- 2-3  

Salt- swadanusar

Oil- 4 table spoon

Dhaniya powder- 2 table spoon

Garam masala- ½ table spoon

Laal mirch powder- 1 table spoon

 

vidhi

sabse pehle kate hue chicken ke pieces ko ek patile mein daal kar achhe se dho lein. Ab ek kadhai mein pyaz ko thoda bhoon kar pees lein jisse uska paste ban jaye. Ab paste ko kisi bartan mein nikal kar dhak kar rakh dein. Ab kadhai mein tel daal dein aur garam hone ke baad usme elaichi, tez patta, daalcheeni aur laung daal kar thodi der bhun lein. Jab masala thoda bhun jaye to chicken ke pieces daal dein. Ab ise thodi der tak dheemi aanch par pakayein. Ab chicken ko ek plate mein nikal lein. Kadhai mei bache tel mein , dhaniya powder, ginger and garlic paste, adarak aur laal mirch powder thodi der pakaein, aur ab isme bhune hue chicken ko daal dein. Uske baad chicken mein pyaz a paste aur dahi daal kar achhe se mila lein aur dheemi aanch par 15-20 minutes tak pakayein. Ab apne anusar gravy ke liye paani daal dein. Ab isme garam masala aur chicken masala dal kar thodi der pakaein. Aapka laziz chicken korma ban kar taiyar hai. Ab ise paros kar iska anand lein.

Chicken korma ka ab aap ghar par anand le sakte hain. khaiye khilaiye aur enjoy kijiye apne hath ka banaya hua korma.Agar aap koi bhi sujhao dena chahte hain to comment jarur karein.

Leave a Reply