Agar aap computer me kaam karte hai toa aapko computer ke shortcuts keys ka aana bahut zaruri hai. Shortcut keys aane se aap juldi se kaam kar sakte hai. Iss blog me hum aapko batayenge Computer Keyboard ke Saare Shortcuts Keys Ki Sahi Jaankari.
Computer Keyboard ke Saare Shortcuts Keys Ki Sahi Jaankari neeche batayi gayi hai.
Neeche diye gaye chart me ek side shortcut keys ke baare me bataya gaya hai. Ke kin do ya teen keys ke ek saath dabaye jaane se command activate hoga. Aur dusre side ye bataya gaya hai. Ke Unke dabane se kaun sa command activate hoga.
SHORCUT KEYS | DABAYE JAANE SE KYA HOGA |
Alt + F | Abhi jo website ya window aapne kholi hui hai. Uska “File Menu” ka option khul jaata hai. |
Alt + Tab | Apne jo bhi dusre computer programs khol rakhe hai. Unke beech aapko kaun sa use karna hai. “Choose” Karne ka option deta hai. |
F2 | Kisi bhi file ya folder pe click karke press karne se “Rename” ka option aata hai. Rename yaani naam badal paana. |
F5 | “Referesh“, jub browser hand ho jaye, ya slow ho. Toa ise daba ke aap referesh kar sakte hai. Wo dubara se open hoga. |
Ctrl + N | “New Program” . Aap jo bhi program ya window ya file computer m chala rahe hai. Ye uska naya fresh copy open kar deta hai. |
Ctrl + O | “Open File“. Abhi ke program me ek naya file open kar sakte hai. |
Ctrl + A | “Select All“. Saare cheezo ko ek saath select karne ka shortcut. |
Ctrl + F | “Search“. Abhi ke file ya program ya window me kuch khojne ka shortcut. |
Ctrl + S | “Save“. Save karne ka program. |
Shift + Del | “Permanent Delete“. File ya folder ko permanently delete karne ka program. |
Ctrl + C | “Copy“. Copy karne ka program. |
Ctrl + V | “Paste“. Paste karne ke liye. |
Ctrl + P | “Print“. Print karne ke Liye. |
Home | “Upar Ki Line“. Sabse upar ki line me jaane ke liye. |
End | “Last Line“. Sabse last line jaane ke liye. |
Alt + F4 | “Close“. Current Progra ko close karne ka program. |
Win + D | “Minimise“. Saar windows ko minimise karne ka shortcut. |
Win + L | “Lock“. Computer ko lock karne ka shortcut. |
Win + R | “Run“. Run command khulne ka shortcut. |
CTRL + Tab | “Next Tab“. Dusre tab pe jaane ka shortcut. |
PrntScr | “Screen Shot“. Jis bhi computer screen pe aap hai. Uska screen shot lene ka shortcut. (Lene ke baad paint khol ke usme paste kar de) |
Ye Bhi Padhe: Microsoft Word Use Karne Ka Aasaan Aur Sahi Tarika
Ye Bhi Padhe: Ek achchi si badhiya si powerpoint presentation kaise de
Aur bhi bahut saare Computer ke shortcut ke keys hai. Jinko aap Microsoft ki website pe dekh sakte hai aur sikh bhi sakte hai.
Waha jaane ke liye neeche diye gaye link ko click kare.
“Microsoft Shortcut Keys Website”
Umeed karta hu ke aapko ye jaankaari sahi lagi hogi aur kuch naya bhi sikha hoga aapne. Agar ye post padh ke achcha laga ho toa comment karke zarur bataye. Agar Kuch oocna chahte hai toa zarur pooche. Ye share bhi kare taaki aapke dost loag bhi sahi jaankari sikh sakhe.
Upper jo shortcut keys ki jankari hai WO aadhi dhik rahi hai .
Bahut Dhanyewaad aapka Hume batane ke liye. Ab Aap dekho, puri jaankari dikhegi.