Jub bhi aap kuch type karte hai computer me ya mobile me. Wo ek font hota hai, jiski wajah se wo aisa dikhta hai. Times New Roman ek aisa font hai jo bydefault rehta hai har jagah. Agar aapko Hindi me type karna hai toa aapke Computer ya mobile me hindi font ka install hona zaruri hai. Iss Blog me hum aako batayenge ke Computer Me Hindi Language Font Dalne / Install Karne Ka Sahi Tarika kya hai.

 

 

Sikhe Computer Me Hindi Language Font Dalne / Install Karne Ka Sahi Tarika

 

Sabse pehle jis computer pe aap font install karna chahte hai us computer ko internet se connect kar le. Uske Baad aapko apne internet browser pe ek website kholni hogi. wo neeche batayi gayi hai.

http://hindi-fonts.com/

Ab isme Hindi ke bahut saare fonts hai. Jo bhi design aapko pasand aaye use aapko select karna hai aur download karna hai. Website kuch neeche diye gaye photo jaisi dikhegi.

Hindi fonts

Isme jo sa bhi font aapko pasand aaye uske naam pe click kare.

Ab Ek DOWNLOAD ka button ayega, usko click kare.

Computer me font aane ka pop up ayeega. usko desktop pe save kar le.

Ab Start menu pe click kare.

Aur Jaha pe Search Programs and Files ka search Button aa raha hai, waha Fonts type kare.

Fonts jo folder likha hua aayega uspe click kare.    Ya aap Fonts folder pe jaane ke liye neeche diye gaye direction se bhi ja sakte hai.

START   –    CONTROL PANEL   –   APPEARENCE AND PERSONALIZATION    –   FONTS

 

Ho sakta hai aapka computer iss cheez ka permission mange toa jo bhi pop up aaye usme OK kar dijeye.

Ab aap Microsoft Word khol ke usme wo font ko font menu se ya    CNTRL   +   SHIFT +   F    daba kar select kar sakte hai. Fir us Font me type kar sakte hai.

 

Isi tarah aap kisi bhi language ke font ko apne computer me install karke us language me type kar sakte hai.   Bahut si websites hai inki.

 

Kuch achchi websites ke address neeche diye gaye hai.

 

 

Ye Bhi Padhe:   

 

Microsoft Word Use Karne Ka Aasaan Aur Sahi Tarika

 

Computer Me Powerpoint Pe Presentation Banane Ka Aasaan Aur Sahi Tarika

 

Kisi bhi Computer ki speed badhane ka sahi tarika

 

Umeed karta hu ke aapko ye article padh ke kuch sikhne ko mila hoga aur aapko achcha laga hoga. Agar aapke koi sawaal hai toa hume comment me pooche. Hum koshish karenge ke unka sahi sahi jawaab de paye.

Ye blog share karne me humari madad kare taaki ye sahi jaankari aur loago tak bhi pahuche.