Kai baar hum apne Computer/Laptop me aise software install kar lete hain jinki hume jaroorat nahi hoti hai. Aise Softwares faltu hi hamaari laptop ya computer ki memory lete hain. Aur Isi wajah se laptoop hang bhi hone lagta hai Qki Uspr jyada load ho jata hai. Chaliye jante hain ki aise software ko kaise uninstall karein.
Kaise Kare UnInstall?
Uninstall karne ke liye aapko jyada kuch karne ke jaroorat nahi hai. Hum aapko iska bahut hi aasan tarika batate hain. Jiski sahaayta se aasani ke software ko uninstall kar payenge.
Anchahe Software Ko Install Karne Ke Liye Niche Likhe Steps Follow Kare:
- Sabse phle aapko search me Control Panel likhna hai.
- Ab Control Panel ko Open kar le.
- Isme Aapko kai options dikhenge jinme se ek Programs ka hoga.
- Programs ke niche aapko UnInstall Programs ka option dikhega jis par aapko click karna hai.
- Is Par Click karne par aapke system me Installed sabhi Softwares aapko Show ho jayenge.
- Ab Jis Software ko uninstall karna hai us par right click kare aur Unistall pr click karke Yes Button press kare.
Aapka Software Successfully UnInstall Ho Jayega.
Ye Bhi Jaane:
Kaise Jane Ki Software UnInstall Ho Chuka Hai?
Ab Check Karne Ke Liye Ki Software UnInstall Hua Hai Ya Nahi Hua Hai Phir Se Search Par Jaye Aur Jo Software Uninstall Kia Hai Use Search Kare. Aap Dekhenge Ki Ab Search Me Wo Option Nahi Aayega. Iska Matlab Hai Ki Aapka Software UnInstall Ho Chuka Hai.
Aisi Hi Any Jankari aur Upadates ke Liye Hamaare Sath Jude rahiye.