Dance jitna dekhne me aasan hai utna karne me aasan nahi hai. Kyu ki dance voh hai jo apne man ke bhaav ko sahi tarah se vyakt kar sake. Fir aise hi yaha vaha haath-paav hilana voh koi dace nahi hai. Dance ek kala hai jise perfect tarike se ki jaye toh log aapke diwaane ho jayege.
Agar aap ek ache dancer ban gaye toh aap soch bhi nahi sakte utne paise kama payege or toh or naam bhi kama payege.
Koi bhi shaadi ho,DJ party ho Ya koi event ho agar usme koi apna dance performance dikhata hai toh uske toh chaar chand lag jate hai.Har taraf se uski vaah-vaah hoti hai.Dance ek aisi kala hai jise ham kisi ke dilo-dimaag pe raaj kar sakte hai. to agar aap dance seekhne ka luf uthana chahte ho to bataye gaye sahi tarike ko apnaye. pehle kuch faide jante hai ,ke dance seekhne se hame kya kya faide hote hai,fir hme dance seekhne me aur ruchi badh jaege.
Dance seekhne ka fayda
- Koi bhi marriage function,events,Partys,Festivals,School,College etc.me aap apna jalwa dikha sakte hai.
- Khud me dance quality add hone ke baad confidece level badh jata hai.
- Perfect dancer ban jane ke baad kisi bhi dance show me apna audition de sakte hai.
- Aap jise like karte hai usse aasani se impress kar sakte hai.
- Koi bhi function me logo ke bich me apni ek alag jagah bana sakte hai.
- Agar aap ek ache dancer ban jate hai toh dancing me apna career bhi bana sakte hai.
- School Ya Colleges me apna perfomance dikhake logo ko impress kar sakte hai.
- Aap apni feeling ko dance ke through expose kar sakte hai.
- Dance se ham apne tension or gusse ko out kar sakte hai.Yani ki ham apne stress level ko kam kar sakte hai.
- Workout or dancing agar dono saath me kare toh Khud ki ek unique and attractive personality develope ho sakti hai.
- Healthy Body or Healthy brain ke liye dance zaruri hai.
Dance se aapke body muscles flexible ho sakte haI
Dance seekhne ka sahi tarika
Apna style chune.
Jab ham dance me naye (begginer) hote hai tab hamare paas 2 option hote hai.(1) Koi ek single style choose kar ke vahi style me dance sikhe Jaise ki-Michle Jackson Breakdancing me famous tha.or (2) Isme ham jitni chahe utni style me dance sikh sakte hai or perfect sikhne ke baad sabhi style ke steps ko mixing bhi kar sakte hai.Isliye ab dance sikhne se pehle aapko apni dancing style choose karni hogi ki aap kaisa dance kar sakte hai.Agar aap chahe toh ek ek style sikh kar multi style dancer ban sakte hai.
Online dance videos dekhe
Agar koi bhi chiz ko hame sikhna ho toh voh sab se jyada dekhne se hi sikh sakte hai.Isliye aap Youtube pe begginer basic dance steps ke videos dekh sake hai.
online performance ya solo performance dekhe
Solo performance dekhne se aap style seekh sakte hai,aapke paas naye naye steps honge jo ke aap kbhi bhi koe bhi song ke sath use kar sakte ho. dance ke practise pehle dimag se kee jate hai,steps sochna padta hai,fir bar bar practise karna hota hai.
Live performance dekhe
Aapki city ya kahi bhi aaspas me agar koi famous dancer ka live show ho toh voh zarur atted kare kyu yeh hi ek aisi jagah hai jaha pe aapko fun ke saath bahot kuch sikhne ko milega.Ya fir aap kisi school ya college me hone wale live functions ko dekh kar bhi khud ko dance ke liye motivated kar sakte hai.
Dance classes join kare
Agar aap chahte hai ki koi teacher ho jo aapko dance sikhaye toh aap dance classess ko join kar sakte hai.Yeh teachers aapko 1st se leke last tak sab sikha dege bas aapko yaha pe unki kuch fees chukani hogi.Yeh bahot se logo ka kehna hai ki dance classess me jake hi dance sikh sakte hai.Par me aisa nahi manta kyu ki agar aap me dance sikhne ka ek zabardast passion hai toh aap ghar par bhi perfect dance sikh sakte hai.Aisa zaruri nahi ki dance sikhne ke liye koi dance classess ko hi join kiya jaye.
(Mirror) aaina ke saamne practise kare
Aap jab bhi dance practice kar rahe ho tab ye prayas kare ki mirror aapke samne ho ! Agar mirror ke samne dance karoge toh aapko apni galtiya pata chalegi or aap perfect dance kar paoge.
Aasha karta hun ke aapko ye article se kuch madad mili ho, dance sach me ek bht achi cheez hai,isse aap na sirf apne emotions aur feelings bata sakte ho ,balki aap apne body ko lacheeli aur fit bhi bana sakte ho,so keep dancing and keep rocking,stay connected