Manali ek mountains(पहाड़ो) me basi ek city hai. Ye India ke tourism, Snow aur beauty ke liye famous state Himachal Pradesh ka ek shehar hai. Apko is article ke dwara Delhi Se Manali Jaane Ki Sahi Jankari di jayegi.
Manali 2,050m (6726 ft) ki height aur bbeas river(नदी) par basa ek shehar hai.
Manali apni sundarta, snow(बर्फ), aur bohat si adventurous activities ke liye famous hai. Jaise ki Paragliding, Trekking, Bunjee Jumping, River Rafting etc. Loag aksar summer vacations me apni family ke sath yaha aana pasand karte hai. Manali apni sundarta aur snow ke liye pure bharat me famous hai.
Delhi se Manali ka distance(दूरी)
Delhi se Manali jaane ke liye bohat se tarike hai. Agar aap apni car ya fir apne kisi bhi personal vehicle se jaana chahte hai. Toa apko rastey ka pata hona chahye, nahi tou sarkar ki kuch acchi facilities hai jinka aap fayda utha sakte hai.
Yeh bhi Padhen: Himalaya (Pahado) Pe Trekking Karne Ka Sahi Tarika | Puri Jaankaari
Road Distance 534kM, NH44
Time 10hour, 49 min
Government ki kuch facilities (sewayen) jo apko Delhi se Manali pohacha sakti hai.
BUS SERVICES
HIMACHAL PRADESH BUS TRANSPORT: Ye government dwara aam admi ke liye chalayi gayi bus sewayen hai. Ek admi ka ticket 650rs hota hai.
SEMI DELUX BUS SERVICESL: Semi deluxe buses government tou chalati hai hi. Par private transport companies bhi chalati hai. In buses me safar karne ke liye apko 1200 se 1400rs tak ka kiraya dena padh sakta hai.
DELUX BUSES: In buses me har tarah ki facilities hoti hai. Jaise ki khana peena, sona , ac aur bhi bohat si suvidhayen hoti hai. Ticket ka daam 1700 se 2000rs.
FLIGHT SERVICES (हवायी जहाज़ सेवा)
Flight ke madhyaam se aap Manali nahi ja sakte hai. Kyunki Manali me koi Airpot(हवायी अड्डा) nahi hai. Apko agar flight se jaana ho toa.
Apko delhi se Kullu ki flight lena hoga. Aur fir vaha utarkar Kullu Hawai adde ke bahar se auto ya cab karke Manali jaana hoga. Flight ticket ka daam lagbhag 6,000rs.
TRAIN SERVICES(रेलवे सुविधाएं)
Agar aap Manali Train ke madhyam se jaana chahte hai. Toa apko Manali Railway schedule ki puri jankari honi chahye. Varna apka koi link, source ya fir apka koi jaanne vala vaha kaam karta ho.
Tab hi aap manali rail ke madhyam se ja sakte hai. Kyunki Manali 2050 m ki height par hai. Railway suvidhayen bhi government ke dwara di gayi hai par manali jaate samay raste ka koi bharosa nahi hota.
Kab mausam change ho jaye or train ko raste me hi rukna pade. Isilye train ki tickets milna bohat hi mushkil hota hai. Par Ambala Railway Station Manali ke sabse pass ka railway station hai. Apko vaha se cab book karke manali jana hoga.
Yeh bhi padhen: Best Cars 6 Lakh Ke Andar
CAR
Agar aap apni car ke Madhyam se manali ja rahe hai. Toa apko kuch jaruri cheeze jannna bohat hi jaruri hai. Jaise ke agar aap apni car se ja rahe hai toa apki driving bohat hi acchi honi chahye. Kyunki car toa koi bhi chala leta hai par pahado par chalana bohat hi mushkil hota hai.
Aur haaan sabse jaruri ye ke car ke documents (dastavej) jaise ki license, RC, car pollution, car insurance. Ye sare dastavej apke pure hone chahye.
Varna apko vaha ki local police pareshan kar sakti hai. Car se jaane ka alag hi maza hota hai. Kahin bhi raste me ruk kar aap views ka maza le sakte hai. Car se jaane ka kharcha apko 6000 petrol / 4500 diesel padega.
BIKE
Agar meri mane toa apko bike se jaana chahiye. Agar aap family ke sath nahi ja rahe hai. Toa aur apka agar mann hai manali jaise hill station ka maza lena hai tou. Agar apke pass bike nahi hai. Toa bhi koi baat nahi, bohat si private companies hai jo bike rent(kiray) par deti hai jaise ki tony bike centre.
Dhanyawaad, aasaha karte hai apko ye sahitarika ka article delhi se manali jaane ki sahi jankari pasand aaya hoga. Aur bhi jankari ke liye jude rahiye sahitarika se ( bharat ki ek matr hindi blog website).