Delhi university world k top 8 best (badhiya) universities me se ek hai. Iski manyata sarkari hone ki wajah se bohat jyada maani jati hai. Sahi Tarika ki team ko ek survey karne par pata chala ke jyadatar school ke bacche 12 th pass krne k baad Delhi university (DU) me admission lena chahata hai. Iss blog me hum aapko batayenge ke Delhi University Me Admission (dakhila) Kaise Le.
Delhi University Me Admission (dakhila) Kaise Le
Delhi university me bohat si aisi acchi baaten hai jo ke padhne vale bacche ko apni or akarshit karta hai.
Kuch achchi baate aur Sahi Jaankari neeche batayi gayi hai.
FEES
Delhi unervesity se india ki kaafi badi badi hastiyaa padh kar nikal chuki hai. Jaise ki Amitabh Bacchan, aur bhi jaane mane hastiya Delhi University se hi padhkr apna career banaya hai. Itni acchi shiksha pradan karne vali university ki fees bohat kam hai. Course course k upar baat hai pr Delhi university me graduation krna bohat hi asan hai kyunki ye private universities ki tarah jada pareshaan nahi karti.
Delhi university graduation karne ki ek saal ki fees keval 6 hazar hai. Par isme ek padhne wala baccha hi admission le sakta hai. Jo apni 12 th class mehnat karke acche marks lekr aaya vahi delhi university me admission le sakta hai.
Qualification (padhai)
Delhi university me admission lene k liye pehle tou apko 10 th or 12 th class dono hi acche numbers pass karna hoga. Passing marks par kahin b admission ho sakta hai par Delhi university k liye bohat jyada competition hota hai. Islye agr apko Delhi university me mannchahe course me admission lena hai tou apko kam se kam 80% marks lane honge 12 th class me. Bina uske apka Delhi university ko chorkr kisi bhi private university me admission ho sakta hai.
QUALIFICATION
- 10 th classi ki marksheet or passing certificate .12 th class ki marksheet or passing certificate . {ye dono cheeze asli honi chchye varna fass sakte hai aap}
- 10 th or 12 th k bina aap Delhi university tou kyaa kahin b admission naiiee le sakte. Par delhi university me admission lene k liye apko acche number se 12 th class ko pass karna hoga.
PROCEDUER ( TAREEKA)
Delhi university me admission lene k liye apko tv pr news or subhaa aane vala news paper( akhbar) daily padhna hoga. Kyunki Delhi university ki sari khabre or cut off list akhbar (newz paper ) me aati hai.
CUTOFF LIST
DELHI UNIVERSITY me pure 82 colleges hai. Jinme kuch bohat hi jyada padhne vale baccho k liye hai. Unme admission lena b asaan naiiee hota hai. Jese ki SHRI RAM COLLGE OF COMMERCE , STEPHENS , VENKETESHWAR COLLEGE ETC. in colleges me talented bacche hi admission le pate hai. Tou inhi colleges ko ek dusre se alag krne k liye cut of list nikalti hai. Jo ki har tarah k akhbar me nikalti hai.
Cutoff list me delhi university k colleges apne collge me admission lene k liye har course ka ek percentage criteria bana dete hai jese k SRCC humesha ki 1st cuttof list hmesha 100 % deta hai. Ab jiss bacche k 100% marks 12 th class me aaye vo apne 10 th 12 th ki marksheet lekar SRCC college chala jaye or uska admission ho jaega. Ese alag alag collegese apne colllegs ki cuttofflist alag alag percentage pr nikalte hai.
12 th class pass krne k baad bacche ke jitney marzi percentage aye vo usi hisab se colleges ki cut of list check kare or jisme vo admission lena chahe le skta hai pr uski 12 th class me aane vali percentage CUT OF LIST me di gayi percentage se milna chhahy tabi admission ho paega.
ADMISSION FORM
Delhi university ka admission for dekhne me tou UPSC ka question paper lagta hai par ussey bharna bohat hi asaan hota hai. Bs thoda sa dimag lagana hota hai.
pehle page pr apka naam , aapke mata peeta ka naam , apka address , phone number or b bohat si jankari apke bare me jo ki apko jarur pata hogi.
COURSE
Jiss course me admission lena chahte hai vo b bharna hoga admission for m pr, jese k b.com (H), B.SC ,BA ETC. fir apko 10 th class k subjects or unme aane vale grades ( numbers) admission form me bharne honge. Ye koi b baccha kar sakta hai 10 th class ki marksheet dekhkar. fir 12 th class k subjects or grades (number ) bharne hai admission for me. Or dhyaan rahe galti naa kare bilkul soch samjhkr or dhyan se admission form bhare.
Form me ek page hota hai jisme colleges k naam diye hote hai or usme apko apna manchaha college chose krna padta hai. Usme apko sare colleges k samne tick mar dena chhahye kyunki kisi me b apka admission ho sakta hai. Jese k apke aye 78% or apko chahye HANSRAJ COLLEGE me admission, par uski pehli 3 cuttof list me no. nahi aaya apka. Tou shayad 4 th cuttoflist me ajaye. Par agr aapne HANSRAJ COLLEGE k alava or koi b college bhara hoga tou apka dusre kisi college me ho sakta hai jiski 3 rd cut off me 78% valo ko le rahe ho. Tou islye college tou jitney marzi daldo,admission kahin na kahin ho jaega.
Par aaj k time me DELHI UNIVERSITY me admission lene k liye kam se kam 80% marks chahye 12 th class me tabi DELHI UNVERSITY me admission ho sakta hai.
Umeed karta hu ke aapko ye blog padh ke Delhi University Me Admission (dakhila) Kaise Le ye pata chla gaya hoga. gar kuch aur poochna chahte hai toa aap hume email karke ya neeche comment me sawaal pooch sakte hai.
Acha agar mujhe na me admission Lena h to na ki fees kitni hoti h 1 year ki…aur v SB kuch btaiye admission form KB niklta hbye SB waise mujhe able year admission Lena h
Delhi University me sare bachelor courses ki ek saal ki fees lagbhag 7,000 se 8000 tak hoti hai. aur bhi jankari ke liye jude rahiye bharat ki ek matr hindi blog website sahitarika se.