Early Years Me Konsi Activity Bacho Ko Karae: Relationship -Part 3

Ye is segment ka last aur sabse interesting topic hai. Isse pehle hume Space Awareness and Effort ke bare me jana. Agar apne ye dono topic nhi padha to niche dea link pe click ker ke padh sakte hai.

https://www.sahitarika.com/early-years-me-konsi-activity-bacho-ko-karae-space-awareness/

/https://www.sahitarika.com/early-years-me-konsi-activity-bacho-ko-karae-space-awareness-part-2/

Movement concept me Relationship bhut hi important part play kerta hai. Relationship batati hai ke body kiske sath move ker rhi hai. Iske 3 part hote hai: 1) Relationship of body parts, 2) Relationship with object and 3) Relationship with people.

Relationship With Body Parts

Isse pehle ke bache movement concept me Relationship with body parts jane unhe different body parts ka naam pata hona chahea. Bache apne body parts ko identify ker sake aur unhe different activity me use ker sake. Unhe ye bhi pata hona chahea ke different body part ko kyse use kerke.jyse ki:

  1. Apni dono kohiniyo ko jodker uputhana
  2. Jhuk ker apni hatheliyo se zameen ko chuna
  3. apne ankle ko dono hatho se paker ker chalna

Aik bar bacho ko body parts ke naam yaad hojae aur use use keye kerna hai ye pta hojae phir une body parts se different shape banana jyse ki:

  1. Become wide
  2. Become narrow
  3. Twisted

Uske bad bache body parts ko aik dusre ke relation me samjha sakte hai jyse ki:

  1. Thodi duur chalna phir rukjana twisted hoke
  2. Chalte waqt apne body ko wide kerke udna aeroplane ki tarah
  3. Apne aik pair ko dusre pair ki knee pe rakh ker balance kerna (Tree pose)

Relationship With Object

Jab bache apne body parts ke naam aur use kyse istemal kerna hai kisi bhi activity ko kerne kelea jan jae uske bad use relationship with object batana jaruri hai. Jb bhi bacha khelta hai aur kisi object ka istemal kerta hai to use pata hona chahea ki uska us object ke sath kya rishta hai. Jyse ki:

  1. Uper : Table ke uper se kuudna
  2. Niche: Kudsi ke niche se nikalna
  3. Kinare se: Goal post ke kinare se dribble kerte hue nikalna
  4. Bich se: Hulahoop ke bich se nikalna

Jb bacha is concept ko samjh leta hai uske bad vo kisi bhi activity ko bhut hi aram se ker sakta hai. Jyse ki agr vo ball dribble kerke jarha hai, samne use do defender dikhe, to use pta hai mujhe ball leker dono ke bich se nikalna hai aur goal ke bich me kick kerna hai.

Relationship With People

Jb bhi bache khelte hai ya koe activity kerte hai to kisi ke sath kerte hai. uske sath move kerte hai so bacho ko repltionship with people janna bhut zaruri hai. Jb bache group me dance kerte hai to bhut savdhani se unke aik dusro ke sath move kerna hota hai verna aik dusre ko chot pahucha sakte hai. Vaise hi jab bache apne personal space me rehte hai to vo aram se move ker sakte hai lekin jb vo general space me move kerte hai to aik dusre se na takra jae ya dhakka na lga de. In sab chezo kelea unhe ye concept janna bhut zaruri hai.

Kisi bhid me akele move kerna: Jb bacha bhid me ball dribble kerta hai to use ball bhi dribble kerni hoti hai aur ye bhi dhyan rakhna hota hai ke vo kisi se takra na jae. to agr unhe ye concept clear hojae to vo kisi bhid me bhi akele kisi skill ko asani se ker sakte hai

Akele khelna: Jb bacha akele perform ker rha ho aur baki log use dekh rhe ho. Jb bacha kisi skill me weak hota hai to use shy feeling hoti hai logo ke samne perform kerne me. Is relationship concept se bacha apni personal space ko istemal kerte hue apnki skill ko ache se dikha sakta hai. Uska face kis direction me hona chahea, kis direction me use move kerna hai ye sari cheeze use is concept se pta chalegi

Partner ke sath : Partner do alag bache hote hai unhe aik dusre ka movement dekhte hue move kerna hota hai aik dusre ke move ko complement kerna hota hai

So aik bacha kisi bhi jagah bina kisi injury ke bina ki se takrae aram se move ker sakta hai agr use ye sare concept shi se pta ho

Ummed kerta hu apko ye article bhi acha lga hoga. Apni rae hume comment me jaruur btae

Leave a Reply