Pichle article me humne baat ki thi ki kyse Space awareness choto bacho ke lea bhut hi zaruri hai. Kisi bhi skill ko sikhne se pehle bacho ko pta hona chahea ki khail ke maidan me bina injured hue aur safely kese move kerna hai.Agar apne abhi tak nhi padha to yha click ker ke padh sakte hai.
https://www.sahitarika.com/early-years-me-konsi-activity-bacho-ko-karae-space-awareness/ .
Effort – Movement Concept
Movement concept me sapse pehle aata hai Space awareness, uske bad aata hai Effort. Aj is article me hum Effort ki baat krenge. Effort ka shabdik arth hai prayas kerna. Movement ke ya khelne ke time bacho ko pata hona chahea ki us skill ko kerne kelea unhe kitna prayas kerna hai.
Movement concept me Effort ka matlab hai ke – “Body kyse move kre rhi hai”. Effort ke 3 types hote hai. Time, Force, and flow. ye teeno cheeze mil ker decide kerti hai ke apki body khelte hue ya kisi bhi activity ko kerte hue kyse move kerti hai ya kregi.
Time- Khailte Waqt Apki Speed Tez Honi Chahea Ya Dhire
Chote bacho ke lea time ghari ke kante ka tic tok hona hai. Lekin Movement concept me Time hume btata hai ki apka speed tez honi chahea ya slow. Jb bache khelte hue tez bhagte hai to vo tez movement enjoy kerte hai. Aur jab kisi cheez ko par kerte hue balance kerte hai to slow movement ko.
Is concept ke dwara unhe bataya jata hai ke unhe pata hona chahea ki unki speed kab tez honi hai aur kab slow. Agr koe football leker aage jarha hai aur ap uska defence ker rhe ho to apki speed usse tez honi chahea tbhi ap use dubara defence ker paoge
Force- Body Ko Move Kerte Hue Force Kitna Lagana Hai
Aksar hum khelte hue kisi gadhdhe ke uper se kuud jate hai ya kabhi kisi ball ko jor se phaikte hai ya kick kerte hai. In sabhi kaam ko kerte hue hum alag alag force ka istemal kerte hai. Kbhi ye force tez hota hai, jab hume kisi ball ko duur pahuchana hota hai ya lambi kuud me bhut duur kudna hai. Aur kbhi kam hota hai jab hum golf ke ball ko bhut nazdeek se hole me dal rhe ho, ya kisi football ko kisi pas ke khiladi pass dena ho.
Askar chote bacho ko is concept ka pata nhi hota ke kis activity kelea kitna force lagana chahea. Early years me force ka concept janna bhut zaruri hai. Isse bache injury se bhi bachte hai aur kisi bhi skill ko ache se perform ker pate hai.
Flow- Free or Bound
Kabhi apne bacho ko kisi dhalae pe utarte dekha hai, is action ko rokna bhut mushkil hota hai, aur bache out of control hoker sidha niche pahuch jate hai. Jab batsman bat ko swing kerta hai ya tennis khilari ball ko serve kerta hai ye sare example hai Free Flow ke
Dusri tarah ka flow hota hai jisme bache us action ko control ker sake. Jayse ke kisi bhari saman ko push kerna, angular pathway pe run kerna is koshish me ke ap boundry ke andar hi rhe. Ye sare example hai Bound Flow ke .
Umeed kerta hu ki apko ye article bhi utna hi pasand aaya hoga jitna ki isse pehle val. Agr apko isse related koe bhi sawal kerna hai to ap humse comment kerke puch sakte hai