Facebook Par Viral Hone Wale ‘BFF’ Ki Kya Hai Sachchai Jaane

Facebook par kai baar kuch aisi khabre viral hoti hain jo sach hoti hain. Aur kai baar aisi khabre bhi viral hoti hain jinka sachhai se door-door tak ka koi vasta nahi hota. Aise hi ek post viral hui hai jiski sachhai ham aapko yaha batane wale hain. Aapne bhi dekha hoga, ek post jis par likha hai ki Facebook ke CEO Mark Zuckerbarg ne ‘BFF’ word ka aavishkar kia hai. Jisse aapke account ka safe aur unsafe hone ka pata chalta hai. Viral post me ye bhi likha hai ki agar aapka kia hua ‘BFF’ comment hare color ka ho jata hai to aapka account surakshit hai. Aur agar ye green nahi hota hai to account asurakshit hai.

Kya Hai Sach?

To hum aapko bata dein is post par bilkul bhi Vishwaas mat kariye kyuki ye viral hui khabar galat hai. Log post par adhik se adhik comment kare. Isliye yh khabar failayi ja rahi hai. Aur Log apne account ke bare me jaanne ke liye comment kar bhi rahe hain.

Aapki jankari ke liye bata dein ki ‘BFF’ ka matlab yaha Best Friend Forever se hai. Aur yah Facebook ka hi ek naya feature hai. Jise aap apne kisi khaas dost ki post par comment karne me istemaal kar sakte hain.

Ye Bhi Jaane: Bhool Gaye Hain FB ID Logout Karna, Jaane Kis Device Me Hai Login

Kuch samay phle ek aisa hi feature aaya tha jiske mutabik jab hm kisi ko ‘Congratulations’ comment karte hain to iska rang badalkar kesariya ho jata hai. Usi prakaar yh bhi ek new feature hai jis par abhi kaam chal raha hai. Isiliye jab aap comment karenge to aapka BFF hare color me badal ja raha hai.

Yakin Maaniye Iska Aapke Account Ke Surakshit Aur Asurakshit Hone Se Door Door Tak Koi Matlab Nahi Hai. To Aap Bhi Iske Jhaanse Me Mat Fansiye. Aur Apne Dosto Ko Bhi Iski Jaankari Deejiye.

Aisi Hi Any Jaankari ya Updates Ke Liye Hamari Site Sahitarika Se Jude Rahe.

One thought on “Facebook Par Viral Hone Wale ‘BFF’ Ki Kya Hai Sachchai Jaane

Leave a Reply