Foreign Language Seekhne Ka Scope

Foreign Language Seekhne Ka Scope

Ham India me Hindi bolte hai par aur bhi kai bhasha hai jo pure vishwa me boli jaati hai.Use hm foreign language blote hai,jaise ke Spain me Spanish,Germany me German,Japan me Japanese aur Russia me Russian.Is blog ke dwara mai aapko ye bataunga ke aap in language ko seekh kar apna kya faida kar sakte ho

aur isse paise

kaise kama sakte ho.Aaj kal logo ko iska scope nahi pta hai aur ye bhi 

nahi pta hai ke aap foreign language seekh kar kya kya kar sakte ho.

Is blog ke dwara aapko jaan paoge ke foreign language seekhne ka scope kya hai.

Step By Step

Foreign language seekhne ke kai tareeke hai,par ab zyadatar bachhe ise school se he seekhne lagte hai kyuki ye aab saare government school aur privae school me bhi compulsary ho gya hai.Aap kisi bhi foreign language ko chun sakte ho jaise ke spanish german ,prtugese ,chinese,italian. Aur iske kai certificate course bhi hote hai jo ke aap kar sakte ho,aur agar aapko isme kuch zyada he intrest hai to aap isme graduatation aur masters bhi kar sake ho,ye arts ke andar aata hai.jisme ke apko literature aur history padhai jaege aur poems bhi. Aao chaho to aap language me phd bhi kar sake ho.

Agar aap janna chahte ho ke kon sa language aur foreign language kaise seekhe to ise zarur padhe https://www.sahitarika.com/foreign-language-seekhne-ka-sahi-tarika/

Job Prospect

Foreign language ka bahot job prospect hai,Agar dekha jae to aur course se zyada pay isme milti hai,mai apne personal experiance se bata raha hun.Agar aap ek learner ho aur aapko padhte hue 6 mahine ho gaye hai to aap apne peeche ke bachoon ko tution de sakte ho. Delhi me tution ke rates 700-800 per hour hai. Pay language par bhi depend karti hai.jaise ke agar aapke paas german language ya chinese language hai to aaki fees zyada hogi. 

doosra option ye hai ke agar aap certificate course kar rahe ho to aapko translator ke job ya interpreter ke job aaram se mil jaege,Aap agar chaho to aap freelancing bhi kar sakte ho.Aapko koe travel company me bhi job mil sakte hai.aapko traveler ko jegah ghumane hote hai jisme ke aapke ghumne aur stay karne ke facility hoti hai.

Agar aapne diploma keya hua hai to aap bhi eligible ho in sab ke lea apply karne ke lea.

Best option hai graduation karna ,kyuki Grduation karne ke baad aapko aese kai company hire kar sakte hai .jaise ke Amazone,Accenture,Genpact,Converges . Ye saari company bahot reputed hai or inki salary bhi kafi achi hoti hai. Jaise ke agar aap Amazone me placed ho jate ho to bascically aapki salary 4.5 lakh per annum ke ho sakti hai.

Agar aap Language me masters karte ho to Aap Proffesor Ya Faculty member ke lea Universities me apply kar sakte ho. Islea foreign language seekhne ka bahot faida hai.

List of Colleges 

1. Maya School of Foreign Languages, Dehradun

2. Savitribai Phule Pune University : Department of Foreign Languages, Pune (Maharashtra)SRM University : School of Languages – Department of English and Foreign Languages, Ghaziabad (Uttar Pradesh)

3. English Language Teaching Institute of Symbiosis (ELTIS), Pune (Maharashtra)

4. Goethe Institute (Max Mueller Bhavan), Pune (Maharashtra)

5. University Of Delhi

6. University Of Mumbai

7. Jawaharlal Nehru University

8. Banaras Hindu University

Aasha karta hun ke aapko is post se kaafi kuch samj aaya hoga,para agar abhi bhi kuch confusions hai to aap comment kar sakte ho.thanks Stay Connected.

Leave a Reply