Aaj kal sabhi kaam online ho rahe hai. To waise hi ham online passport bhi banwa sakte hai.Pahle jab bhi hame passport ke liye apply karna hota tha. To sir dard ho jata tha.To aaj kal sabhi chahte hai ki unka kaam ghar baithe or jaldi ho jaaye.
To waise hi ab baat jab passport banwane ki aa jaye. To aap use bhi online apply kar sakte hai. Uske liye aap neeche ke sare tips ko follow kar sakte hai.
Ase Kare Passport Ke Liye Online Apply-
- Sabse Pahle aapko Passport banwane ke liye is website Passport Seva par jana hai.
- Ab aapko Red Box ( New User Register Now )par click Karna hai.Aur ab aap jis bhi city me rah rahe hai. Waha ka name select kare. Waki form normal hai. Jaise aap other form ko fill karte hai. Waise hi kar sakte hai.
- Jab form fill ho jaaye to Register par click karna hai.
- Ab aapka account ban chuka hai.
- Fir se Passport seva website par jaye.
- Aur ab aapko Green color wale box ko select karna hai.
- Ab aapko ek email ke liye text dikhega. Aur Email id dalakar Continue par click kare.
- Ab aapko Email,Password, captcha ko enter karke Login par click karna hai.
- Ab aapko Apply for Fresh Passport/Reissue of Passport par click karna hai.
- Aapke pas 2 options hai. Yaa to aap form ko download karke use bharke fir se website par upload kare.Yaa fir direct website par hi fil kare.
- Ab agar aap form ko download karke bharna chahte hai to Click here to download the soft copy of the form par click karke form download kare.
- Agar aap form ko website par hi bharna chahte hai to Click here to fill the application form online par click kijiye.
- Ab next page par aapko New passport/reissue/general/urgent 38 pages or 64 pages me choose karna hai.
- Aap apni suvidha ke according option choose kar sakte hai.
- Next page par click kare.
- Ab is form me aapko personal information deni hogi. Or dhyan rahe ki aapki information aapke documents se match karti hai.
- Ab form fill hone ke baad right side me submit application button par click kijiye.
- Ab form fill Karne ke baad fir se Apply for Fresh Passport/Reissue of Passport par jaaye.Or View Saved/Submitted Applications par click kare.
- Ab aap us form ko dekhenge jo aapne fill Kiya tha.Ab radio button par click kare.
- Ab aap Pay and Schedule Appointment par click kijiye.
- Online payment ko select kar Next par click kijiye.
- Ab jo bhi passport seva center aapke aas pas honge. Unki list aapke samne aa jaygi. Ab aap date or nearest ko choose kar sakte hai.
- Ab Captcha ko type kar next par click kijiye.
- Ab aapko Pay and Book Appointment par click karna hai.
- Ab aap payment gateway par pahuch jaynge.Or payment complete kare. Aur ab aap fir se Passport seva par pahuch jayga.
- Ab aap ek page dekh rahe honge jis par Passport confirmation likha hoga.Aur is page par Passport Seva Kendra (PSK) se related pura information hoga.
- Ab aap Print Application Receipt par click kijiye.Or print kar lijiye.Kyoki aapko passport seva kendra par entry ke liye is reciept ki need hogi.
- Ab police verification ke baad apna passport apni date tak le sakte hai.
Yah bhi Padhiye-
Passport Ke Rules Me Huye Naye Changes- Janiye
passport ke niyamo me ho rahe hai 5 bade badlaw
Hame ummid hai ki aapko hmare dwara si gayi jankari se passport online banwane m help hogi. Aur agar aapko hmari jankari achhi lagi ho to aap ise share kar sakte hai.
Plz I’m Pakistan may neem is irshad plz may shop is kaka pan shop