Ghar Me Kaun Se Ped/Paudhe Lagaye – Jane Sahi Tarika

Ghar Me Kaun Se Ped/Paudhe Lagaye

Aksar gharo ke peeche ke hise me ya kabhi kabhi aage ke hisse me bahut si khali zameen hoti hai. Iss zameen me aksar loag kuch phool ya phal lagate hai. Kuch awshadhi gun ke paudhe bhi hote hai jinhe zarur se lagaya jaana chahiye. Hum aapko batayenge Ghar Me Kaun Se Ped/Paudhe Lagaye sahi tarike se.

Ghar Me Kaun Se Ped/Paudhe Lagaye jane.

Aksar loag apne gharo me phool ya phal lagate hai jisse unka ghar achcha dikhta hai. Magar agar inhi ped/paudho me kuch Jadi / Buti (Awshadhi Paudhe) laga diye jaye toa inka samay samay par upyog bhi hota rahega. Ye paudhe bahut jada rogo se bachate hai aur aapke shareer ko Healthy karte hai.

Inhi kuch Jadi / Buti (Awshadhi Pudho) ke baare me jaane.

TULSI

Ye Jhadi numa paudha hota hai, beez se naya banta hai. Iske bahut saare awshadhi guno ke kaaran Tulsi bahut upyog me aata hai. Ye ek paryawaran Sudharak paudha bhi hai.

Tulsi ka Upyog Aur Fayeda

Tulsi ki 2 se 5 pattiya paani ya doodh ke saath sewan se khasi, zukam, Bukar, Uchch Raktchap, B.P (Blood Pressure) me bahut jada labh hota hai. Iska koi bhi side effect nahi hai.

Padhe: SAHI AUR AASAAN TARIKA TULSI KI KHETI KARNE KA (link pe click kare)

ADUSA

Ye jhadinuma bade patte waala paudha hota hai. Isme safed rang ke pushp (phool) nikalte hai. Iss Paudhe ko kalam se lagaya ja sakta hai.

Adusa Ka Upyog Aur Fayeda

Adusa ke 4 patto ko aadha litre paani me 10 se 15 minute ta ubaal (Boil) kar chchan le. Iske thanda hone par 2 chammach Shahed (Honey) milakar din me do baar peene se purani khaasi (cough) aur dama me labh hota hai.

GWARPATHA

Iska vanspatik naam Aloe vera hai aur yahi iska prachalit (popular) naam hai. Ye ek chota paudha hota hai aur iski pattiya hi iska mukhye bhag hoti hai. Chehre ki Safai aur sundarta ke liye ye bahut jaana jaata hai.

Gwarpatha Ka Upyog Aur Fayeda

Patti ka 8 se 10 cm ke tukde se guda nikal kar har roz sewan se Madhumeh aur udar rog sambandhi rogo se labh milta hai. Saath hi shareer se gande pradharth (Toxic elements) bhi bahar nikalte hai. Agar kahi pe jal gaya ho toa Gwarpatha ka guda laga lene se fauran aaram milta hai.

GILOY

Iss paudhe ko Neem Giloy ya Amrita bhi kete hai. Yeh ek pan ke jaise patto waali bel hai aur tane ke tukde se ek naya paudha banta hai.

Giloy Ka Upyog Aur Fayeda

Tane ka 6 inch ka tukda kuutkar ek litre paani me 10 se 15 minute tak ubaal kar chchaan le. Iss paani ke din me kai baar sewan se jawar, Madhumeh aur Gurda jaise kai rog me labh milta hai.

NEEM

Neem ek ped hai aur ise beez dwara lagay jaata hai. Ise khuli jagah pe lagaya jaan chahiye aur Giloy ki bel ko iske saath lagana chahiye.

Neem Ka Upyog Aur Fayeda

Iski chchaal ghiskar charm rogo me bahut fayeda karti hai. Iski tehni se daato ki safai kar sakte hai. 4 se 5 komal aur lal pattiyo ko subah khane se Madhumeh aur udar jaisi anye bahut si bimari nahi hoti hai. Sukhi pattiyo ka dhuwa machchar bhagane ke kaam bhi aata hai.

AWLA

Awla ek ped hai. Aur ise beez ya kalam ke dwara lagaya ja sakta hai.

Awla Ka Upyog Aur Fayeda

Awle ke phal ka ras ka sewan karne se shareer me rog rodhak shakti jada aati hai. Awla Ankh (eye), Dimaag aur Dil ko jada achche se kaam karne me madad bhi karta hai.

Jaane:  AWLA KI KHETI KA ASAAN AUR SAHI TARIKA (link pe click kare)

PUDINA

Pudina ek khushboo paudhe ke roop me jaana jaata hai, Iska Prasaran Bhuprakari shakhao se hota hai. Iski Pattiyo ka Aushadhi ke liye prayog kiya jaata hai.

Pudina Ka Upyog Aur Fayeda

Pudina ke patto ko peeskar sewan karne se dast me aaram milta hai. Patto ka ras, adrak ke ras ke saath barabar matra me sewan karne se Bukhar, pet ka dard, Bhookh nahi lagna jaise bimaroyo me labh milta hai.

ANAAR / DADIM

Anar lagbhag sabhi phal vatika me lagaya jaata hai. Ise beez ya kalam ke dwara lagaya jaata hai. Iska upyogi part jad ki chchaal, phal ka chchilka aur phal ka ras hai. Ek Anaar se Sao Bimaari Theek hone ki kahawat me bahut hadh tak sachchai hai.

Anaar / Dadim Ka Upyog Aur Fayeda

Jad ki chchaal ko paani me ubaalkar din me 4 se 6 baar peene se bahut fayeda hota hai. Phal ka ras rakt me hemoglobin badhata hai. Dil ke rog me bhi ye bahut labhkaari hai. Phal ke chchilke ka kadha Atisar, Aaw aur Udar rogo me bhi araam deta hai.

SHATAWAR

Ye ek katedaar bel hai. Sundar bel hone ki wajah se kai gharo me ise gamle me bhi lagaya jaata hai. Ise beez dwara lagaya jaata hai. Iska Upyogi bhaag jad hai. Barish ke baad October se November me iske patte jhad jaate hai aur beezban jaate hai. Iske baad jad nikalkar upyog karna chahiye.

Shatwar Ka Upyog Aur Fayeda

Kamzori, thakan mitane me ye bahut upyogi hai. Mahilao ke liye ye ek vishesh awshidhi hai, jo unke pure jeewan kaal tak upyogi hai. Iski Jad ke powder ka doodh ke saath sewan karne se bahut labh milta hai.

ASHWAGANDHA

Ye ek jhadinuma paudha hai aur barish ke mausam me beez se hota hai. Iska mukhye upyogi bhaag jad hai jisko October se November ke baad patte jhadne par paudha ukhaad kar jad se alag kar upyog kiya jaata hai.

Ashwagandha Ka Upyog Aur Fayeda

Jad ka powder doodh ke saath sewan karne se dhakaan, kamjori aur jodo ke dard me labh hota hai. Ashwagandha aur Shatawar ke jad ka samanye bhaag doodh ke saath lene se adhik labh hota hai. Ashwagandha ke patto ko phode aur phunsi par lagane se labh milta hai

 

KUCH ZARURI BAATE:

  • Aushidhiyo ka lagataar sewan karne se shareer unhe bhojan maanne lagta hai aur inka asar kam ho jaata hai. Isiliye 10 se 15 din ke prayog ke baad 1 hafta ke antral (Break) dekar dubara sewan karna chahiye.
  • Uprokt sabhi aushidhiya shareer ki rog se ladne ki taakat badhati hai. Koi bhi rog ke ghambeertha ke aadhar par Doctor se pramash zarur kare.

 

Agar aapko ye Blog padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.

Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.

Leave a Reply