Sochiye agar aapka chicken keema paratha khane ka man hua aur ghar par hi khane ka man hai par aapko banana nai aata. aise mein aap man masos kar majburan hoel jakar khaenge. aur agar aapko banana aata ho to sochiye kitna anand aaega.Maine bhi socha chalo kyun na aapko keema paratha banana sikhaya jaye, isse aa ghar par asani se bana sakenge.To chaliye aaj mai aapko sikhata hoon ki
Ghar Par Chicken Keema Paratha Kaise Banaye
Samagri
Chicken keema- 500 gram
Dahi- ½ kg
Namak-swadanusar
Hari mirch- 2 kati hui
Onion- 2 kata hua
Ginger garlic paste- 1 table spoon
Haldi powder- 1 table spoon
Laal mirch powder- ½ table spoon
Hari mirch- 2 baari kati hui
Jeera powder-1 table spoon
Dhaiya powder- 1 table spoon
Garam masala- 1 table spoon
Oil- 1 table spoon
Vidhi
Keema ko ek patile mein nikal kar achhe se dho lein. Dahi, haldi aur laal mirch powder daal kar keema ko aadhe ghante ke liye marinate kar lein.Aadhe ghante baad marinate kiye hue keema ko dheeme aanch pr garm krein. Phir kate hue pyaj ko kadhai mein dhal kar bhun lein.Ab isme ginger garlic paste, hari mirch, jeera powder aur namak daal kar dheemi aanch par 5 minute tak chalayein. Ab bhune hue masala mein marinate kia hua keema dal kar garam kare aur jate hue pyaj ko daalkar bhune. Ab isko achhe se mix karein aur 10 minute tak pakayein. Ab isme garam masala aur paani daal kar 10 minutes tak pakayein ya tab tak pakayein jab tak paani nai sukh jata. Dhyan rahe keema ka achhe se pakana bohot jaruri hai isiliey ise pkane waqt lagatar chlate rahiye taki isme bilkul nami nai rehni chahiye. Ab keema ko nikal kar ek patile mein daal lein. Ab ek bowl aata(flour) nikal lein. Isme namak aur paani daal kar mulayam hone tk gunthe.Ab aate ki ladiyan tod lein.Ise roti ke loi ke aakar ka bana lein. Ab iske beech mein 1 spoon keema rakh dein au rise hatheli se band karke gol aakar mein bel lein. Ab tava ko medium aanch par rakh kar parantha daal lein.Aur ise tel lga sek lein. Ise achhe se paka kar nikal lein. Aise karte karte saara parantha paka lein. Aapka parantha taiyar hai. Ise ab aap thaali mein parosein.Aap iske sath apne swadanusar chatni ya achaar daal kar anand lein.
Ab jab humara paratha ban kar taiyar hai, ise aap chahe kisi gravy ke sath kha sakte hain ya phir chatni ya achar ke sath lekar kha sakte hain. dekha kitna asan hai ise banana. ab aap bhi ise har par banaiye aur apne hath ka bana hua keema paratha enjoy kijiye. agar aap koi sujhao dena chahte hain to niche comment jarur karein.