Sunne mein hi kitna swadisht hai na. paneer tikka jitna sunne mein swadisht hai usse kahin jyada mazaa use khane mein aata hai. Par jab bhi hume khane ka man hota hai to kisi mehenge hotel mein jakar khana padta hai. Sochiye agar yahi paneer tikka hume ghar par banana aata ho to kitna mazaa aaye . to aaiye aaj mai aapko batata hun Ghar Par Paneer Tikka Kaise Banaye; Jane Sahi Tarika.
Ingredients(samagri)
Paneer-250 gram
Dahi-100 gram
Kali mirch- ½ table spoon
Namak- ¾ table spoon
chat masala- 1 table spoon
Adarak- ½ table spoon(paste bana lein)
Hari dhaniya- baarik kati hui
Tamaatar(tomato)- 2-3 (baarik kaat lein)
Makkhan ya ghee- 2 table spoon
Laal mirchi- swadanusaar
Shimla mirch- 1-2
Jeera powder- 1-2 table spoon
Neembu- 1-2
Vidhi
Paneer ko apne suvidha anusar kaat lein, phir use kisi kadhai mein dhak kar rakh dein.
Dahi, kali mirch, namak aur aadha adarak ka paste bna kar mila lein.
Achhe se ghol lene par paneer ke tukdon ko us paste mein daal kar achhe se lep laga lein.
Mila lene ke baad paste lage hue paneer ko aadhe ghante ke liye dhak kar rakh dein.
Ab usme se paneer ke tukdo ko nikal kar plate mein daal lein aur 1-2 ghante ke liye fridge mein daal dein.
Isi dauran Shimla mirch ko dhokar kaat lrin aur uska beez nikal lein, phir use lambe aur patle tukdo mein kaat lein.
Tamaatar ko bhi dho kar kaat lein.
Ab non-stick kadhai mein makkhan daal kar paneer ke 6-7 tukde daal kar halke brown hone tak tal lein.
Saare paneer ke tukde isi tarah sek lein.
Ab jo makkhan bacha hai usme jeera powder aur adarak ka paste daal kar chalaein. Ab isme Shimla ke daal kar thodi der tak pakaein.
Ab tamaatar ke tukade, paneer ke tale hue tukde,chat masala aur laal mirch powder daal kar. achhe se mila lei aur ise 1- 2 minute tak chalaein.
Ab ise ek plate mein nikal lein aur ispe baarik kati hui hari dhaniya aur neembu se sajaa lein.
Aapka paneer tikka ban kar taiyar hai.
Aapko batate batate mere mooh mein paani aa gya. Kyun na ab aap mujhe apni receipe bataye. Agar aapko laga hai ki isme swad badalne. ya aur achha karne ke liye kuch daal sakte hain to comment mein jarur batayein.