Aaj desh bhar me tobacco (तम्बाखू )khane wale bahut loag hai. Jisse Cancer hone ka khatra badh raha hai. Tobacco khane walao me kewal gramin log hi nahi. Balki sehar ke loag bhi shamil hai. Iss article me hum apko bataenge, Gutka aur tobacco (tamaku) chorne ka Sahi aur asaan Tarika.
Aaj hum baat karenge gutka aur tobacco (तम्बाखू ). Ko churane ke gharelu tariko ke bare me. Gutka churane me mano Scientific (वैज्ञानिक ) tariko ke alawa. Humare paas gharelu tarike hai. Jinke madyam se gutka khane ki aadat ko kam kiya ja sakta hai. Gutka na kewal hamare sehat ko kharab karta hai. Balki hamari Personality (व्यक्तित्व ) ko bhi nuksaan pahuchata hai. Isliye aaj hum neche diye gaye upayo se gutka ko khana kum karenge.
Yeh bhi padhe: Cigarettes (Smoking) – Chorne ka Sahi Tarika
Neeche bataya gaya hai Gutka Aur Tobacco (tamaku) Chorne ka Sahi aur Asaan Tarika
- Barik sauf ko mithi misri ke saath chusne par. Aur thori der baad chaba kar khane se kafi fayeda hota hai. Isse na kewal pet ka hazma theek hota hai. Balki gutka aur tobacco ki talab bhi kum hoti hai.
- Ajwain ko saaf kar nimbo ke ras me aur kale namak ke saath. Do din bhigoye aur chao me sukha kar rakh le. Baad me ise dhere dhere chabaye. Ye bhi aapki pachan kirya ko durast karne ke saath saath. Gutka khane ki aadat ko khatam karta hai.
- Choti haran ko neembo ke ras aur sendha namak ke saath. Do dino tak bheegoye, baad me ise chao me sukha kar shishi me bhar kar rakh le. Aur chabaye aur naram ho jaye to chaba kar kha le. Ye bhi pachan kriya ko theek karne me. Aur gutka khane ki talab ko theek karti hai.
- Tobacco sughne ki aadat ko churane ke liye. Garmi ke mausam me kewra, gulaab, aur khas khas ki itra ka fua apne kaan le lagaye. Isse kafi fayeda hota hai.
- Sardi ke mausam me tobacco ki talab hone par. Heen ke itra ka fua kaan me lagaye. Isse aap ko tobacco khane ki iccha nahi hogi.
Yeh bhi padhe: Apne Body Ko Fit Kaise Rakhe Jaane Sahi Tarika
Neeche Diye Gaye Khaas Baato Pe Bhi Dhyan De:
- Ek khaas baat tobacco khane ki adat dheere-2 kam karen kyuki khoon me nicotin ki matra ek dum se kum karna theek nahi hai, isliye tobacco khane ki adat ko dheere dheere kum karna chahiye.
- Tobacco hamare liye bahut hi katarnaak cheez hai isliye agar aap ne ye adat pakar li hai to aapko aaj se hi ise kum karna chahiye.
Aashaa karte hai ki sahitarika ka ye article Gutka aur tobacco (tamaku) chorne ka Sahi aur asaan Tarika apke behad kaam aega. aur jaankari ke liye jude rahiye bharat ki ek matr website sahitarika se.