Aaj Hm Seekhenge ki samose kaise banaaye jaate hain. Garma garam samose saamne dekhkar unhe khane ka man karta hi hai chaahe aapka pet bhara hi kyu na ho. Aap Is tarah apne ghar par hi bahar jaise samose taiyaar kar payenge, Jane Samose banane ka sahitarika:
Niche Diye Gaye Steps Ko Follow Karein-
- Sabse Phle Aaloo ko ubaaalne ke liye rakh dein.
- Jb tk aaloo uble tab tak samose ke aate ko laga le yani maida taiyaar kar le.
- Maide ko madhna hai, iske liye isme 1 table spoon ghee aur 1/4 cup pani ki aavashyakta hogi.
- Maide ko thoda tight hi madhein. Ise mulayam na kare. Agar Ise Aap mulayam karenge to samose sakht nahi banenge.
- Jab Aata Taiyaar Ho Jaaye to ise 20 min. ke liye dhak kar rakh de. Ab Aapke aaloo ubal gaye honge.
- In 20 min. me samose ki stuffing taiyaar kar lenge.
- Stuffing ke liye, sabse phle 1 spoon ghee pan me daal kar garam kar lein. Phir Isme Agar Adrak dalna chaahein to daal lein. Aur Hari Mirch daalein aur hari matar daalein. ise 2 min. bhoon lein.
- Ab Isme aaloo tod kar daale. Ek dm baareek ya jada mote aaloo na daale. aaloo ke kuch tukde dikhne chahiye.
- Ab Isme namak, lal mirch, garam masala, dhaniya-powder, amchoor aur kaaju ke kte hue peice daalein.
- Aur Ise Chalaaye agar aaloo ke kuch peice bade dikh rahe hain to unhe thoda todkar medium size ka kar lein.
- Ab Aate ko 20 min. ho chuke hain, ab loiyaa bana lein aur unhe dhak dein.
- Ek-Ek Loyi uthaayein aur unhe oval shape me bele aur yaad rahe ki kinaare se dabaate hue bele jisse loyi har jagah se saman motai ki rahe. Aur Baki ki loyion ko dhaki rahne de jisse loyi sookhe nahi.
Ye Bhi Jaane:
- Ab Belne ke baad 1 poodi ko bich se katkar do hisson me baantna hai.
- Ab Kon Jaise Banaye aur isme aaloo ki stuffing bhare aur pani se ise chipkaye. Aise Hi Sabhi Samoso ko bana le.
- Ab Aadhe Ghante Ise Rakha Rahne De. Jisse Isme Bubble Na Aayein.
- Kapde Se dhak kar Rakh Denge.
- Aadhe Ghante baad inhe talenge. Samoso ko palat-palat kar hlke golden brown hone tak tale. Aur yad rahe ki oil hlka garam hona chahiye aur gas ki aanch bhi medium ya dheemi honi chaahiye.
- Ek bar ke samose talne me 7-8 min. lg sakte hain.
- Aur Agr Aap Aate me oil ki jagah desi ghee dalenge to aapke samoso me bubbles nhi aayenge.
- Bs Ab Apke Crispy Samose Taiyaar Hain. Ise Dhaniye ki chatni ke sath parose.
Aise Hi Any Updates Ke Liye Hamaare Sath Jude Rahe.
aapne bahut hi achche tarike se smose bnane ki vidhi btai bahut bahut dhnyvad
Ye sunke achcha laga. Thank You