High Level Programming Language Kya Hoti Hai Aur Use Kaha Hoti Hai ?

High Level Programming Language Kya Hoti Hai ? Aur Iska Use Kaha Hota Hai ?

Sabse pahle to aapke liye yah janana jaruri hai. Ki programming language hoti kya hai. To programming language ke baare mai padhane ke liye aap yaha click kare. Programming Language Kise Kahte Hai Or Yah Kitne Prakar Ki Hoti Hai-    

  • High level language programming language ka hi part hai. High-level programming language ko short form mai ham HLL bhi kahte hai.
  • Jo bhi program ham high level language me likhate hai. To use computer Directly nahi samjh pata hai. Computer use pahle compile Karta hai. Compile karke use binary mai convert karta hai. Kyoki computer keval binary language ko hi samjhta hai.
  • High level language sabse pahle 1950 mai introduce ki gayi thi.Uske baad aur bhi bahut saari high level language market me aayi. Jisme C++, Java, C, PHP etc.

High Level Language Ka Use Kaha Kiya Jata Hai ?

High level language ka istemaal aaj kal bahut saari cheejo ke liye kiya jaata hai. Neeche padhiye-

1. Application, Program and Software Development Mai –

Aaj kal computer me bahut si applications,Softwares ka istemaal kiya jaata hai. Jisme se kuch online or Kuch offline application bhi hoti hai. Jaise Browser, Crome, Games etc ko banane ke liye programming language ka istemaal kiya jata hai. Aur inko develop karne ke liye high level language C,Java,PHP etc ka hi istemaal hota hai.

2. Script Development Ke Liye-

Script program kaa hi part hota hai. Jise kisi bhi task ko complete karne ke liye Use kiya jata hai.Agar hamko kisi task ko baar baar karna padh raha hai. To uske liye ham script bana sakte hai.Script bnane ke liye Perl, Python,Batch file language ki programming karni padti hai.

Yah Bhi Padhe-  Computer Expert Banane Ke Liye In 7 Steps Ke Bare Padhiye

3. Web Designing Mai-

High level language ka Istemaal ( Use )ham website designing aur developing ke liye bhi karte hai. Website designing mai HTML, CSS, PHP,.Net etc languages mai programming ki jaati hai.

4. Android Application Mai-

Yah Bhi Padhe-  Computer Ke Bare Mai Puri Jankari Hindi Mai, Janiye Computer Kya Hai.
Android application banane ke liye java or android SDK Istemaal ki jaati hai. Aur C,C++ ka bhi Use kiya jata hai.

Ham ummid karte hai ki aapko hamare dwara batayi gayi yah Programming Language Kise Kahte Hai Or Yah Kitne Prakar Ki Hoti Hai se aap puri tarah sahmat hai. Agar aap isi prakar ki hindi me sahi jankari ke liye isko like or comment karke hame btaye.

Note- Isi prakar se aap agar aur koi jankari kisi aur cheej ke baare me prapt karna chahte hai. To aap comment kare.

2 thoughts on “High Level Programming Language Kya Hoti Hai Aur Use Kaha Hoti Hai ?

Leave a Reply