In Tricks Ke Use Se Badha Sakte Hain Apne Mobile Ki Battery Life

In Tricks Ke Use Se Badha Sakte Hain Apne Mobile Ki Battery Life

Agar aap apne Mobile/Phone ki battery se pareshaan hain. Aapke Mobile ki battery Bahut jldi jaati hai to ham yaha aapko bataane ja rahe hain ki is problem se aap kaise chhutkara pa sakte hain.

Agar Aapka phone jldi discharge hota hai to niche likhe tricks ki madad se aap apne phone ki battery life kuch ghanton ke liye badha sakte hain. Niche likhe hue sabhi steps ko follow karein:

Vibration ko band rakhein:

Vibration ko Setting me jakar off kia jaa sakta hai. Agar Aap apne mobile ko vibration pr rakhte hain to hm aapko bata dein ki kahin na kahin ye aapki battery khata hi hai. To battery life badhaane ke liye ye achha hoga ki aap apne phone ko General par rakhein.

Location Search ko band rakhein:

Location Search pr rakhne se aapka phone hr samay location batata rhta hai jisse bina use kiye bhi aapki battery jati rhti hai. To jab aapko iski jaroorat ho tabhi iska istemaal karein wrna ise band rakhein.

Phone ko samay se Update kare:

Apne phone ko bich-bich me update krte rahein. Isse sirf aapki battery ki hi nahi balki aapke phone ki performance par fark padega. Performance achhi hogi, sath hi fast bhi hogi.

Data aur Wi-Fi ko jaroorat ke samay on karein:

Adhiktar Log Apne phone ka net 24 ghante on rakhte hain. Jisse Battery par kafi effect padhta hai. Jab Aap net use na kar rahe ho tab net ko band rakhna chahiye. Har samay chal raha net bhi aapki battery ko jldi drain karta hai.

See Related Reports:

Extra Apps Uninstall karein:

Aap jin Apps ka use nahi karte hain aur wo aapke phone me install hain. To Aise apps ko uninstall kar dein kyoonki ye sirf aapki memory hi nhi consume karte balki aapke phone me update bhi hote rahte hain. To Aise Apps ko uninstall kr de jisse wo aapki battery ko discharge na karein.

Saath hi Aapke phone me kuch apps background me bhi chalte rhte hain. Jab Aap Apne Mobile me net chalaate hain tb kafi applications us samay background me chalti rahti hain jinke baare me aapko pata bhi nahi hota hai. Aisi Apps ko aap Restrict Data Off krke band kar sakte hain.

Aisi hi any jaankari ke liye hamaari site sahitarika se jude rahein.

 

 

Leave a Reply