Indian Army Soldier General Duty (N.E.R) Exam ki Sahi jaankari

Indian Army Soldier General Duty (N.E.R) Exam ki Sahi jaankari

Indian Army ki job bahut kismat waalo ko milti hai. Isme desh ke liye kuch karne waale loag jaate hai jo desh ko apni sewaye dena chahte hai. Indian Army me dakhil hone ke liye ek written exam dena hota hai jo 10th class pass karne ke baad de sakte hai. Ek exam hai Indian Army Soldier General Duty (N.E.R) Exam jis ki Sahi jaankari hum aapko yaha batayenge.

Indian Army Soldier General Duty (N.E.R) Exam ki Sahi jaankari neeche likhi hui hai.

Indian Army Soldier General Duty (N.E.R) Exam saal me 4 baar hota hai, jiske baare me Newspaper aur khaas taur pe Employment samachar me advertise kiya jaata hai sarkaar ke dwara.

Eligibility: Jinki shaadi nahi hui hoti wo isme apply kar sakte haichahiye wo Indian ho ya Nepal ke rehne waale.

Educational Qualification: 10th Pass karna zaruri hai tabhi aap isme apply kar sakte hai.

Age Limit: 16 saal se 21 saal tak ke loag isme apply kar sakte hai.

Body Structure: Isme apply karne ke liye aapki Height 167 cms tak honi chahiye, Weight 50 Kg tak ka hona chahiye aur Chchati yaani Chest 77/82 cm tak ka hona chahiye tabhi aap apply kar sakte hai. Ha kuch reservation waalo ko thodi se relaxation milti hai.

Application fill karne ka Tarika: Indian Army Soldier General Duty (N.E.R) Exam ke form Free me milte hai, jise aap local Recruitment Offices, District Collector's Office, Zila Parishads and Employment Exchanges ke office se le sakte hai.

Selection ka terika: Jo candidate upar likhe gaye saare cheezo me sahi paaye jaate hai unko written exam dena hota hai, joki neeche diye gaye 3 subjects me hota hai

  • General Intelligence
  • Mathematical Aptitude
  • General Knowledge

In saare subjects me se jo question pooche jaate hai wo Objective type ke hote hai, yaani ek sawaal ke 4 jawaab diye honge aur aapko sahi jawaab chunna hoga. Ye Saaal dono language me aate hai Hindi aur English me, aapki jo ikchcha ho usme aap ye exam de sakte hai. Saare sawaal ka jawaab dene ke liye aapke paas sirf 45 minute ka samay hota hai aur pure sawaal 100 marks ke hote hai.

Jo isme pass ho jayega usi ko aage Aptitute test aur final interview ke liye bulaya jayega.

Army ke iss Career ke fayede

waise toa kai fayede hai, magar aapka Khaana Free, Kapde free, rehna Free, bimaari ka ilaaz free na sirf aapke liye balki aapke ghar waalo ke liye bhi, loan ki suwidhaye, canteen ki suwidha aur bhi anek fayede yaani benefits hai Army job me.

 

Indian Army ke aur bhi exams hote hai jo aap 10th pass karne ke baad de sakte hai. Unke baare me janne ke liye neeche diye gaye kisi bhi post me click kare.

 

Umeed karte hai ke aapko ab samajh me aa gaya hoga ke Indian Army Soldier Clerks Exam kaise dete hai aur isme kya kya poocha jaata hai.

Agar aapko ye article padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.

Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.

Leave a Reply