Indian Army Soldier Nursing Assistants (M.E.R) Exam ki sahi jaankari

Indian Army Soldier Nursing Assistants (M.E.R) Exam ki sahi jaankari

Indian Army me wahi loag jaate hai jinhe desh se bahut pyaar hota hai aur desh ke liye kuch karne ka jazba. Indian Army saal me 4 baar exam leke sahi candidate ka chayan yaani selection karti hai. Iss article me hum aapko batayenge ke Indian Army Soldier Nursing Assistants (M.E.R) Exam ki sahi jaankari kya hai.

Indian Army Soldier Nursing Assistants (M.E.R) Exam ki jaankaari neeche batayi gayi hai ise dhayan se padhe

Indian Army Soldier Nursing Assistants (M..E.R) ka Exam saal me 4 baar liya jaata hai. Iss Exam ki adhik jaankari aur sahi jaankari yaani Information Employment newspaper akhbaar aur baaki bade newspaper me daali jaati hai.

Eligibility: Jin loago ki shaadi nahi hui hoto hai, wo iss exam me participate aurApply kar sakte hai..

Educational Qualifications: Iss Exam me Apply karne ke liye 10th Pass hona zaruri hai..

Age Limits: 16 saal se lekar 23 saal tak ke candidate iss exam me Apply kar sakte hai

Physical Appearance: Iss exam me Apply karne ke liye Candidate ki Height kam se kam 167 cm tak honi chahiye, Wazan yaani Weight 50 Kg tak aur Chchati yaani Chest 77/82 cm tak. Jo loagreservation ke category me aate hai, unhe thodi si riyayat yaani Relaxation milta hai isme.

Application Form Fill karne ka tarika: Indian Army Soldier Nursing Assistants (M..E.R) ka form Free me milta hai, iss form ko aap local Recruitment Offices, District Collector's Office, Zila Parishads aur Employment Exchanges office se prapt kar sakte hai.

Selection Ka Tarika: Paper 1 ka exam hota hai joki 45 minute ka hota hai aur 100 number ke questions pooche jaate hai. Ye exam written Exam hota hai. Iss exam me General Intelligence, Mathematical Aptitude, aur General Knowledge se questions pooche jaate hai.

Paper 2 ka exam un candidate ke liye hota hai, jo Paper 1 exam me pass ho jaate hai. Paper 2 ka exam bhi 45 minute ka hota hai aur 100 marks ke question pooche jaate hai. Isme 50 marks ka question Chemistry aur Physics se poocha jaat hai aur 50 marks ka Biology se. Maths type ke question pe inka jaada focus hota hai.

Army ke Job ke Fayede: Agar aapka selection ho jaata hai toa aapko Free me khana, rehna aur kapde milenge. Aapka aur aapke pariwaar ka illaz ki jimmedari bhi ye lenge. Aapko Loan ki bhi suwidha milegi aur aap Army Canteen se samaan bhi le sakte hai. Saath hi bahut saare anye fayede hai.

Indian Army ke aur bhi exams hote hai jo aap 10th pass karne ke baad de sakte hai. Unke baare me janne ke liye neeche diye gaye kisi bhi post me click kare.

Agar aapko ye article padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.

Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.

Leave a Reply