Indian Army Land yaani Zameen, Sky yaani Aasmaan aur Water yaani Paani teen Category me hoti hai. Land aur Navy me jaane ke liye aapko 10th Pass karna zaruri hai. Iss article me hum aapko batayenge Indian Navy Dock Yard Apprentices Exam ki sahi jaankari aur isme apply karne ka sahi tarika.
Indian Navy Dock Yard Apprentices Exam ki sahi jaankari neeche likhi hui hai ise dhayan se padhe
Ye exam (Indian Navy Dock Yard Apprentices Exam) saal me 2 baar liya jaata hai. Ek Hota hai July me aur ek hota hai December me. Iski jaankari Sarkaar Employment news aur baaki akhbaar me deti hai.
Eligibility Creteria: Jin Loago ki shaadi nahi hoto wo loag isme apply kar sakte hai.
Educational Qualification: Class 10th Pass hona bahut zaruri hai.
Age Limits: 14 saal se lekar 19 saal tak ke candidate isme Apply kar sakte hai. 5 saal ka relaxation milta hai un loago ko jo reservation category me aate hai (Sc/ST Candidates).
Body Structure: Isme Apply karne ke liye aapka wazan yaani weight kam se kam 45 Kg ka hona Chahiye, aapki height kam se kam 150 cm ki honi chahiye aur aapki chchati yaani chest kam se kam 5 cm tak fulna chahiye.
Application Ka Tarika: Application form fill karne ka sahi tarika Employment news ya advertisement me achche se diya rehta hai. Usi format ko aapko use karna hai.
Selection Ka Tarika: Isme Mathematics se 100 marks ke sawaal pooche jaate hai aur samay 2.5 hours ka diya jaata hai. Saath me General Knowledge se bhi 100 marks ka sawaal poocha jaata hai aur samay 2 ghante ka diya jaata hai.
Mathematics me se Number system, Natural numbers, Integers, Rational aur real numbers, Commutative, Associative aur Distributive law, Fundamental operations-addition, subtraction, multiplication and division, Square root, Decimal fractions. Unitary method-application simple and compound interest nikalne ke liye, time and distance, time aur work, percentages, profit aur loss, ratio aur proportion, averages, areas aur volumes. Factors, Problems aur Equations Algebra me se sawaal pooche jayenge.
General Knowledge aur General Science se bhi sawaal pooche jayenge jisme Abbreviations, Books aur unke Authors, India ke baare me facts World ke baare me, Sports, Awards aur unke Prizes ke baare me, Everyday Science, short notes bahut saare subjects pe jispe aapko 100 words me likhna hoga.
Interview: Agar aap iss exam me paas ho jaate hai toa selected candidates ko Interview ke liye bulaya jaata hai. Interview aksar Delhi, Mumbai, Calcutta aur Bangalore jaise city me hi hota hai. Jo loag select ho jaate hai unhe Naval Dockyard School me training ke liye bhej diya jaata hai jo ki Mumbai me hai. Waha 3 saal ki training hoti hai inki.
Indian Navy me ek exam aur hota hai, agar aap chahe toa uski jaankari bhi yaha pe paa sakte hai. Neeche diye gaye link ko click kare:
Agar aap saath hi saath Indian Army ke land division me bhi apply karna chahte hai toa, aapko neeche diye gaye kisi bhi ek exam me Apply kar sakte hai. Isme Soldiers ke liye bahali hoti hai.
- Indian Army Soldier Clerks Exam. (click karke jaane ke ye kya hai aur kaise hota hai)
- Indian Army Soldier General Duty (N.E.R) Exam. (click karke jaane ke ye kya hai aur kaise hota hai)
- Indian Army Soldier Technical (M.E.R) Exam. (click karke jaane ke ye kya hai aur kaise hota hai)
- Indian Army Soldier Nursing Assistants (M.E.R) Exam. (click karke jaane ke ye kya hai aur kaise hota hai)
Agar aapko ye article padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.
Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.