Interview Me Answer Kaise De | Interview Ke Sawaal | Prepare Kaise Kare

Interview Me Answer Kaise De | Interview Ke Sawaal | Prepare Kaise Kare

Interview me aapse bahut saare sawaal pooche jaate hai. In sawaal ko pooch kar Interviewer ye janna chahte hai ke aap kitna jaante hai. Aur aap us company me kitna yogdaan de sakte hai. Sawaal Kai bar chalaki se pooche jaate hai. Jinka matlab bahut se nahi samjh paate. Iss  Blog me hum aapko batayenge ke Interview Me Answer Kaise De | Interview Ke Sawaal | Prepare Kaise Kare.

Interview Me Answer Kaise De | Interview Ke Sawaal | Prepare Kaise Kare

Apna CV / Resume Achche se banaye

Sabse pehli cheez jo interviewer aapki dekhta hai wo ha aapka CV/ Resume. Usko dekhne ke baad hi wo apne sawaal taye karta hai aura apse sawal karta hai. Ye bahut zaruri hai ke aap apni CV me likhi hui har cheez ko padhe aur samjhe. Taaki aapse koi bhi kuch bhi sawaal kare toa aap uska jawaab dene me sakcham ho.

Resume Microsoft me banaya jaata hai.

Ye Bhi Padhe:   Microsoft Word Use Karne Ka Aasaan Aur Sahi Tarika​

Aapka Pehnawa \ Dressing sense

Dusri cheez jo interviewer dekhta hai wo hai aapka pehnawa yaahi dressing sense. Bahut zaruri hai ke aap Formals me jaye interview ke liye. Formals yaani Shirt and Pant ladko ke liye aur Salwar kameez ya shirt , pant ladkiyo ke liye. Bahut zada bright color waale kapde bhi nahi pehenne chahiye,jaise ki orange ya red ya yellow. Blue ke shades ya white ke shades sabse sahi hote hai.

Achche kapde pehenne se aapki personality achchi hoti hai.

Ye Bhi Padhe:  अपनी पर्सनालिटी बढ़िया करने का सही तरीका

Kuch Basic se sawaal jo har jagah pooche jaate hai

Kuch sawaal hai jinkilist di gayi hai neeche wohumesha hi pooche jaate hai.

Tell me something about yourself  (Apne bare me thoda sa bataye)

 Ye Zarur Se Padhe: Interview Me Pass Kaise Kare | How to Prepare for Interview

Ye sawaal pooch ke interviewer bas ye dekhta hai ke aapki communication skill kaisi hai. Aur aap sawaal ke jawaab ko kis tarah dete hai. Sahi tarika iss sawal ke jawaab dene ka hai :

Mera Naam “xxxxx” hai. Maine “xxxx” padhai ki hui hai. Isme mere ye subjects the. Maine iss school ya college se padhai ki hui hai. Meri hobbies ye hai. Aur iss company me job karne me meri roochi bahut hai.

Koshish kare kam hi bataye, jada batane ka koi matlab nahi hai jub tak wo aapse aur na pooche.

Aaj se 5 saal ke baad tum apne aap ko kaha dekhte hai.

Iss sawaal ko pooch ke company ye jaanna chahti hai ke aap us company me jada time tikte hai ke nahi. Aap bole ke mai isi company me kisi bade position pe dekhta hu khud ko.

Aapke Strengths kya hai.

Strengths yaani aapki khoobi. Aap bole mai mehnati hu, juldi sikh sakta hu, team me kaam kar sakta hu. Target mile toa achieve kar sakta hu. Aur bhi bahut saari cheese apne bare me aap bata sakte hai.

Aapke Weakness Kya Hai.

Ye pooche jaane pe aapko sach me ye nahi batana ke aapki weakness ya hai. Aapko ye batana hai ke aap kaam ko leke bahut serios hai ye aapki weakness hai. Aap kaam ko huesha priority dete hai. Workoholic hai. Ye sab batane se aapka impression achcha jaata hai.

Aapko Hum Kyu Hire Kare.

Ye bahut common sawaal hai jo company aapse poochegi. Aapko batana hai ke aap iss profile ke liye ek suitable candidate hai.Aapke paas knowledge hai. Aap mehnati hai aur kaam bahut juldi se sikh jaate hai. Aap humesha kaam me dhyan dete hai aur juldi khatam karne ki koshish karte hai.

Aap isi company me kaam kyu karna chahte hai.

Ye pooche jaane pe aapko bolna hai ke aapko iss company me apna future dikhta hai. Company achchi hai aur agar aap mann laga ke kaam karenge toa aapke growth ke bhi chances bahut jada hai. Ye pooche jaane pe company ki achchai karna hoga aapko.

Iske liye pehle se hi company ke bare me padh ke jaye.

KUCH DUSRE TIPS JO AAPKO USE KARNE CHAHIYE

  • Time se pehle hi pahuch jaye jagah pe.
  • Confident rahe khud pe bhadosa rakhe.
  • Chehre pe smile rakhe.
  • Jawaab dete hue interviewer ki taraf hi dekhe , idhar uthar nahi.
  • Phone humesha silent me ho, aur use use na kare.
  • Ek pen aur copy humesha ssaath rakhe, taaki kuch note karna ho toa note kar le.

KUCH SAWAAL JO AAPKO COMPNAY WAALO SE POOCHNA CHAHIYE

  • Week me kitna din kaamkarna hoga.
  • Office ki timing kya hai.
  • Organisation ka structure kya hai.
  • Company ka future kya hai, company ka mission kya hai.
  • Aapko salary ke alawa aur kya kya benefit milega.
  • Company ki policies kya kya hai
Ye Zarur Se Padhe: Interview Me Pass Kaise Kare | How to Prepare for Interview

SALARY POOCHE JAANE PE YE DHYAN RAKHE

Kabhi khud hi apna expectation na bataye. Humesha company pe chod de. Bole job hi company de wo sahi rahega. Lekin agar aap confident hai ke itna toa milna chahiye toa bare pyaar se bol de, ke agar itna milta toa bahut sahi rehta aur aap bahut mann laga ke bhi kaam karenge.

Umeed karta hu ke aapko ye tips jb interview ke achche lage honge aur aapne kuch sikha bhi hoga inse.

Agar aapko koi sawaal hai toa aap hume comment mepooch sakte hai.

6 thoughts on “Interview Me Answer Kaise De | Interview Ke Sawaal | Prepare Kaise Kare

  1. Ashika tripathi says:

    Sir agar interviwer humse puchhe ki yadi koi customer aapse bevajah bura bolta hai to aap us vakt kya karoge

    1. Pehle Customer se Pyaar se baat kare aur suljhane ki Koshish Kare. Agar wo battameezi kare toa aap apne Senior ki sahayta le. Aur jub halaat bahut kharab hone lage toa Security Guards ki Madad le. Aapko puri koshish karni hogi, ke aap mamla khud hi baatcheet se suljha le. Tab hi aap achche Saleman ban sakte ho.

  2. dipika chaudhari says:

    nice tips….

Leave a Reply