Jaisa Ki Hm Sabhi Dekh Rahe Hain Ki Roj Kuch Na Kuch Technical Badlaav Hame Life Me Dekhne Ko Mil Rahe Hain. Kya Aap Jante Hain Ek Aise App Ke Baare Me Jisse Aapke Kisi Bhi Smartphone Me Finger Print Screen Lock Lagaya Ja Sakta Hai. Agar Nahi To Jaane:
Hm Yaha baat kar rahe hain ICE Unlock Fingerprint Scanner App Ki. Is App Ke Jariye Aap us phone me bhi yh lock laga sakte hain jisme aisa feature na ho.Chaliye Jaante Hain Iske Baare Me kuch mukhya baate-
Kaha Se Hoga Yh App Download?
Is App Ko Aap Apne Google Play Store Par Jaakr Download Kar Sakte Hain. Download Karne Ke Liye Niche Diye Gaye Link Par Click Kare.
Ye Bhi Padhein: Is App Se Kama Sakte Hain Paise, Install Karke Karna Hoga Bs Itna Kaam
Kaise Karega Kaam?
- Sabse Phle Aapko Ye App Download Karna Hai.
- Phir Use Open Krke screen ko swipe kare, swipe karne ke baad ‘Lets Go‘ par tap karna hai.
- Ab Yaha Ek Box Open Hoga Jisme Wo Aapse 4 Digits ka Pin Create Karne ko kahega.
- Pin Create Karke Continue par click kare.
- Screen ko again swipe kare aur Continue to Enroll pr tap karke aage badhein.
- Ab Aapko Screen Par Left Aur Right Hand Dikhaayi Denge Aapko Apni Jis Finger Se Lock Lagaana Hai Us Par Tap Kare.
- Tap Karne Ke Baad Aapka Camera Open Hoga Jisme Aapko Apni Finger Ko Kai Baar Scan Karana Hai.
- Ab Aapka Finger Print Lock Lag Chuka Hai Ab Agar Aap Screen Band Karke Dobara Kholte Hain To Finger Print Se Khulega.
Ye Bhi Padhein: Apne Aadhar Number Ko EPF Account Se Kaise Link Kare | Sahitarika
Aise Hi Naye Updates Ke Liye Hamaare Sath Jude Rahiye Aur Jaankari Praapt Karte Rahiye. Aasha Hai Aapko Hamaari Di Hui Jaankari Pasand Aayi Hogi.