Jaane Android Phones Ke Kuch Disadvantages

Har sikke ke do pehlu(side) hote hain. Usi tarah har chij ki kuchh achhchhaiyan aur kuch buraiyan hoti hai. chahe wo insan ho ya koi saman, kuchh chij achhchhi hoti hain to usme kuch na kuch burai bhi hoti hai. ek aisa hi example lete hain android phone ka.

Android phones market mein aate hi sabko pasand aayi. android Phone sach mein bohot achhi hoti hai lekin kahin na kahin isme kuch kharabi bhi hai. aaiye aaj apko mai kuch kamiyan batata hoon android phone ki.

Android phones ki kuch disadvantages

Battery problem

Android phonnes ki battery par aap jyada bharosa nai kar sakte. kuch achhchhe android phones hain market mein jinki battery kaafi achhi hoti hai lekin jyadatar phones ki battery sahi nai hoti hai. heavy software phone ki battery ko jyada sokhta hai. agar aap android phone lete hain to is problem se har roj gujarne ke liye taiyar ho jayein.

Kharab data connection

Data connection ko lekar bohot saari samasyaein hain. android phone ke lambe aur bade process ki wajah se background mein applications chalti rehti hai jiski wajah se internet ki speed slow ho jati hai aur jyada data kharch hota hai. aap koshish karein ki background mein jitti kam applicaion run kare, utna hi achha hota hai data connection ke liye.

Malware issues

Google play mein apko bohot saare aaps mil jaenge. jyada aap hone ki wajah se ye problem bhi ho sakta hai. 10 mein se 6 apps ya games kisi hacker ya spammer ke dwara dala jata hai. ye humesha koi na koi malware dalte rehte hain. aise apps ya games aapke phone ko slow kar deta hai.

Kam memory space

aapke phone mein memory card to hogi hi lekin internel memory bohot kam hoti hai. kabhi kabhi jab koi bada aap ya game dalte hain to kam memory hone ki wajah se nahi daal pate hain. haan aap internel memory ke data ko memory card mein daal sakte hain lekin phir bhi phone ki memory space to kam hi hai.

कुछ ऐसी Google Apps जिनके बारे में जानना जरुरी है।

Ye kuch disadvantages the android phones ke. In sabko hata kar dekha jaye to android phone use karne ka mazaa hi kuch aur hai. Google Play store mein aapko bhale hi kitne bhi malware mil jaye. Lekin jo safe hain wo best hain. Aur jaisa ki mai pehle bhi bata chuka hoon ki har cheej ki achhchhai aur burai dono hoti hai. Agle post me mai aapko iske advantages bataunga. Mai ye aasha karta hoon ki aapko meri article pasand aayi ho. Aur aapko isse koi madad mili ho. Comment aur share karein.

Leave a Reply